ya rasoolallah ! tere dar ki fazaao.n ko salaam
gumbad-e-KHazra ki Thandi Thandi chhaao.n ko salaam
masjid-e-nabawi ke subho.n aur shaamo.n ko salaam
ya nabi ! tere Gulaamo.n ke Gulaamo.n ko salaam
waalihaana jo tawaaf-e-rauza-e-aqdas kare.n
mast-o-beKHud wajd karti un hawaao.n ko salaam
shehr-e-bat.ha ke dar-o-deewaar pe laakho.n durood
zer-e-saaya rehne waalo.n ki sadaao.n ko salaam
jo madine ke gali koocho.n me.n dete hai.n sada
un faqeero.n, raah-geero.n aur gadaao.n ko salaam
maangte hai.n jo wahaa.n shaah-o-gada be-imtiyaaz
dil ki har dha.Dkan me.n shaamil un du'aao.n ko salaam
ai Zahoori ! KHush-naseebi le gai jin ko hijaaz
un ke ashko.n aur un ki iltijaao.n ko salaam
jo pa.Dha karte hai.n roz-o-shab tere darbaar me.n
pesh karta hai Zahoori un salaamo.n ko salaam
Poet:
Muhammad Ali Zahoori
Naat-Khwaan:
Siddiq Ismail
Owais Raza Qadri
Sarwar Hussain Naqshbandi
या रसूलल्लाह ! तेरे दर की फ़ज़ाओं को सलाम
गुंबद-ए-ख़ज़रा की ठंडी ठंडी छाओं को सलाम
मस्जिद-ए-नबवी के सुब्हों और शामों को सलाम
या नबी ! तेरे ग़ुलामों के ग़ुलामों को सलाम
वालिहाना जो तवाफ़-ए-रौज़ा-ए-अक़्दस करें
मस्त-ओ-बेख़ुद वज्द करती उन हवाओं को सलाम
शहर-ए-बतहा के दर-ओ-दीवार पे लाखों दुरूद
ज़ेर-ए-साया रहने वालों की सदाओं को सलाम
जो मदीने के गली कूचों में देते हैं सदा
उन फ़क़ीरों, राह-गीरों और गदाओं को सलाम
माँगते हैं जो वहाँ शाह-ओ-गदा बे-इम्तियाज़
दिल की हर धड़कन में शामिल उन दु'आओं को सलाम
ऐ ज़हूरी ! ख़ुश-नसीबी ले गई जिन को हिजाज़
उन के अश्कों और उन की इल्तिजाओं को सलाम
जो पढ़ा करते हैं रोज़-ओ-शब तेरे दरबार में
पेश करता है ज़हूरी उन सलामों को सलाम
शायर:
मुहम्मद अली ज़हूरी क़सूरी
ना'त-ख़्वाँ:
सिद्दीक़ इस्माइल
ओवैस रज़ा क़ादरी
सरवर हुसैन नक़्शबंदी