::

Search

वो नबियों में रहमत लक़ब पाने वाला / Wo Nabiyon Mein Rehmat Laqab Pane Wala (All Versions)

  • Share this:
वो नबियों में रहमत लक़ब पाने वाला / Wo Nabiyon Mein Rehmat Laqab Pane Wala (All Versions)

wo nabiyo.n me.n rehmat laqab paane waala

usi se hai islam ka bol-baala

wo sar-chashma-e-noor-e-fat.h-e-mubee.n hai

wohi mash'al-e-raah-e-'azm-o-yaqee.n hai

usi se hamaare dilo.n me.n ujaala

usi se hai islam ka bol-baala

wo nabiyo.n me.n rehmat laqab paane waala

usi se hai islam ka bol-baala

usi ke ye ham par hai.n ehsaan saare

qadam manzile.n choomti hai.n hamaare

usi ne andhero.n se ham ko nikaala

usi se hai islam ka bol-baala

wo nabiyo.n me.n rehmat laqab paane waala

usi se hai islam ka bol-baala

sahaara diya us ke naqsh-e-qadam ne

usi ki tawajjoh, usi ke karam ne

zamaane ke girte huo.n ko sambhaala

usi se hai islam ka bol-baala

wo nabiyo.n me.n rehmat laqab paane waala

usi se hai islam ka bol-baala

usi ki mohabbat hai imaan-e-kaamil

usi se mila ham ko 'irfaan-e-manzil

usi ne hame.n jaada-e-haq pe Daala

usi se hai islaam ka bol-baala

wo nabiyo.n me.n rehmat laqab paane waala

usi se hai islam ka bol-baala

 

Naat-Khwaan:

Qari Waheed Zafar Qasmi

Mudassir Abdullah

 

wo nabiyo.n me.n rehmat laqab paane waala

muraade.n Gareebo.n ki bar laane waala

museebat me.n Gairo.n ke kaam aane waala

wo apne paraae ka Gam khaane waala

faqeero.n ka malja, za'eefo.n ka maawa

yateemo.n ka waali, Gulaamo.n ka maula

KHata-kaar se darguzar karne waala

bad-andesh ke dil me.n ghar karne waala

mafaasid ko zer-o-zabar karne waala

qabaail ko sheer-o-shakar karne waala

utar kar hira se soo-e-qaum aaya

aur ik nusKHa-e-keemiya saath laaya

mas-e-KHaam ko jis ne qundan banaaya

khara aur khoTa alag kar dikhaaya

'arab jis pe qarno.n se tha jahl chhaaya

palaT di bas ik aan me.n us ki kaaya

raha Dar na be.De ko mauj-e-bala ka

idhar se udhar phir gaya ruKH hawa ka

wo faKHr-e-'arab, zeb-e-mehraab-o-mimbar

tamaam ahl-e-makka ko hamraah le kar

gaya ek din hasb-e-farmaan-e-daawar

soo-e-dasht aur cha.Dh ke koh-e-safa par

ye farmaaya sab se ki, ai aal-e-Gaalib !

samajhte ho tum mujh ko saadiq ki kaazib ?

kaha sab ne, qaul aaj tak koi tera

kabhi ham ne jhooTa suna aur na dekha

kaha, gar samajhte ho tum mujh ko aisa

to baawar karoge agar mai.n kahunga ?

ki fauj-e-giraa.n pusht-e-koh-e-safa par

pa.Di hai ki looTe tumhe.n ghaat paa kar

kaha, teri har baat ka yu.n yaqee.n hai

ki bachpan se saadiq hai tu aur amee.n hai

kaha, gar meri baat ye dil-nashee.n hai

to sun lo KHilaaf is me.n islah nahi.n hai

ki sab qaafila yaa.n se hai jaane waala

Daro us se jo waqt hai aane waala

balaGal-'ula bi-kamaalihi

kashafa-dduja bi-jamaalihi

hasunat jamee'u KHisaalihi

sallu 'alaihi wa aalihi

wo bijli ka ka.Dka tha ya saut-e-haadi

'arab ki zamee.n jis ne saari hila di

nai ik lagan dil me.n sab ke laga di

ik aawaaz me.n soti basti jaga di

pa.Da har taraf Gul ye paiGaam-e-haq se

ki goonj uThe dasht-o-jabal naam-e-haq se

 

वो नबियों में रहमत लक़ब पाने वाला

उसी से है इस्लाम का बोल-बाला

वो सर-चश्मा-ए-नूर-ए-फ़त्ह-ए-मुबीं है

वोही मश'अल-ए-राह-ए-'अज़्म-ओ-यक़ीं है

उसी से हमारे दिलों में उजाला

उसी से है इस्लाम का बोल-बाला

वो नबियों में रहमत लक़ब पाने वाला

उसी से है इस्लाम का बोल-बाला

उसी के ये हम पर हैं एहसान सारे

क़दम मंज़िलें चूमती हैं हमारे

उसी ने अँधेरों से हम को निकाला

उसी से है इस्लाम का बोल-बाला

वो नबियों में रहमत लक़ब पाने वाला

उसी से है इस्लाम का बोल-बाला

सहारा दिया उस के नक़्श-ए-क़दम ने

उसी की तवज्जोह, उसी के करम ने

ज़माने के गिरते हुओं को सँभाला

उसी से है इस्लाम का बोल-बाला

वो नबियों में रहमत लक़ब पाने वाला

उसी से है इस्लाम का बोल-बाला

उसी की मोहब्बत है ईमान-ए-कामिल

उसी से मिला हम को 'इरफ़ान-ए-मंज़िल

उसी ने हमें जादा-ए-हक़ पे डाला

उसी से है इस्लाम का बोल-बाला

वो नबियों में रहमत लक़ब पाने वाला

उसी से है इस्लाम का बोल-बाला

 

ना'त-ख़्वाँ:

क़ारी वहीद ज़फ़र क़ासमी

मुदस्सिर अब्दुल्लाह

 

वो नबियों में रहमत लक़ब पाने वाला

मुरादें ग़रीबों की बर लाने वाला

मुसीबत में ग़ैरों के काम आने वाला

वो अपने पराए का ग़म खाने वाला

फ़क़ीरों का मलजा, ज़'ईफ़ों का मावा

यतीमों का वाली, ग़ुलामों का मौला

ख़ता-कार से दरगुज़र करने वाला

बद-अंदेश के दिल में घर करने वाला

मफ़ासिद को ज़ेर-ओ-ज़बर करने वाला

क़बाइल को शीर-ओ-शकर करने वाला

उतर कर हिरा से सू-ए-क़ौम आया

और इक नुस्ख़ा-ए-कीमिया साथ लाया

मस-ए-ख़ाम को जिस ने कुंदन बनाया

खरा और खोटा अलग कर दिखाया

'अरब जिस पे क़रनों से था जहल छाया

पलट दी बस इक आन में उस की काया

रहा डर न बेड़े को मौज-ए-बला का

इधर से उधर फिर गया रुख़ हवा का

वो फ़ख़्र-ए-'अरब, ज़ेब-ए-मेहराब-ओ-मिम्बर

तमाम अहल-ए-मक्का को हमराह ले कर

गया एक दिन हस्ब-ए-फ़रमान-ए-दावर

सू-ए-दश्त और चढ़ के कोह-ए-सफ़ा पर

ये फ़रमाया सब से कि, ऐ आल-ए-ग़ालिब !

समझते हो तुम मुझ को सादिक़ कि काज़िब ?

कहा सब ने, क़ौल आज तक कोई तेरा

कभी हम ने झूटा सुना और न देखा

कहा, गर समझते हो तुम मुझ को ऐसा

तो बावर करोगे अगर मैं कहूँगा ?

कि फ़ौज-ए-गिराँ पुश्त-ए-कोह-ए-सफ़ा पर

पड़ी है कि लूटे तुम्हें घात पा कर

कहा, तेरी हर बात का यूँ यक़ीं है

कि बचपन से सादिक़ है तू और अमीं है

कहा, गर मेरी बात ये दिल-नशीं है

तो सुन लो ख़िलाफ़ इस में इस्लाह नहीं है

कि सब क़ाफ़िला याँ से है जाने वाला

डरो उस से जो वक़्त है आने वाला

बलग़ल-'उला बि-कमालिही

कशफ़-द्दुजा बि-जमालिही

हसुनत जमी'उ ख़िसालिही

सल्लू 'अलैहि व आलिही

वो बिजली का कड़का था या सौत-ए-हादी

'अरब की ज़मीं जिस ने सारी हिला दी

नई इक लगन दिल में सब के लगा दी

इक आवाज़ में सोती बस्ती जगा दी

पड़ा हर तरफ़ ग़ुल ये पैग़ाम-ए-हक़ से

कि गूँज उठे दश्त-ओ-जबल नाम-ए-हक़ से

 

 

Muslim Life Pro

Muslim Life Pro

Kam Wo Le Lijiye Tumko Jo Razi Kare, Theek Ho Naame Raza Tumpe Karoro Durood.

best naat |rapid naat test |naat test |urdu naat |har waqt tasawwur mein naat lyrics |a to z naat mp3 download |junaid jamshed naat |new naat sharif |naat assay |naat allah hu allah |naat audio |naat allah allah |naat app |naat allah mera sona hai |naat arabic |naat aptima |naat akram rahi|naat album |arabic naat |audio naat |audio naat download |ab to bas ek hi dhun hai naat lyrics |aye sabz gumbad wale naat lyrics |arbi naat |atif aslam naat |allah huma sale ala naat lyrics |rabic naat ringtone |naat blood test |naat by junaid jamshed  |naat beautiful |naat book |naat battery |naat by veena malik |nat bug |naat bhar do jholi |est naat 2023 | naat 2024 coming soon |bangla naat |best naat in urdu |beautiful naat |naat lyrics in english |naat lyrics in hindi|naat lyrics in urdu |naat lyrics in english and hindi