dhoom har jaanib machi hai aap ke meelaad ki
har musalmaa.n ko KHushi hai aap ke meelaad ki
jin ke 'amalo.n me.n hai sab kuchh, par nahi.n chehre pe noor
un ke daaman me.n kami hai aap ke meelaad ki
beshumaar us par barasti hai.n KHuda ki rahmate.n
bazm jis ghar me.n saji hai aap ke meelaad ki
na hame.n jannat ka laalach, na koi dozaKH ka KHauf
kyu.n ki nisbat mil gai hai aap ke meelaad ki
jis ke sadqe me.n mila hai saari duniya ko wujood
kya hi pur-'azmat gha.Di hai aap ke meelaad ki
Noor ko, aaqa ! mile deedaar ki KHairaat ab
chaakari jo is ne ki hai aap ke meelaad ki
Poet:
Noor Ahmad Noor
Naat-Khwaan:
Milad Raza Qadri
हर मुसलमाँ को ख़ुशी है आप के मीलाद की
जिन के 'अमलों में है सब कुछ, पर नहीं चेहरे पे नूर
उन के दामन में कमी है आप के मीलाद की
बेशुमार उस पर बरसती हैं ख़ुदा की रहमतें
बज़्म जिस घर में सजी है आप के मीलाद की
ना हमें जन्नत का लालच, ना कोई दोज़ख़ का ख़ौफ़
क्यूँ कि निस्बत मिल गई है आप के मीलाद की
जिस के सदक़े में मिला है सारी दुनिया को वुजूद
क्या ही पुर-'अज़मत घड़ी है आप के मीलाद की
नूर को, आक़ा ! मिले दीदार की ख़ैरात अब
चाकरी जो इस ने की है आप के मीलाद की
शायर:
नूर अहमद नूर
ना'त-ख़्वाँ:
मीलाद रज़ा क़ादरी