Rashke Qamar hun Range Rukhe Aaftaab hun
Zarra Tera Jo Aye Shahe Gardo Janaab hun
Durre Najaf hun Gohare Paake Khushaab hun
Yaani Turaabe Rah Guzare Bu Turaab hun
Kyun Naala Soz se karun, Kyun Khoone Dil piyun
Sikhe Kabaab hun na Mein Jaame Sharaab hun
Mein to Kaha hi Chaahun ke Banda hun Shah ka
Par Lutf Jab hai keh dein Agar Wo Janaab hun
Mit Jaae Ye Khudi to Wo Jalwa Kahaan nahin
Darda Mein Aap Apni Nazar ka Hijaab hun
Daawa hai Sab se Teri Shafa-at pe beshtar
Daftar mein Aasiyon ke Shaha Intekhaab Hun
Qaalib tahi kiye Hama Aagosh hai Hilaal
Aye Shah Sawaare Taybaah Mein Teri Rikaab hun
Hasrat mein khaak bosi-e-Taybaah ki Aye RAZA
Tapka Jo Chashme Mahar se Wo Khoone Naab hun

रश्के कमर हूँ रंगे रूखे आफताब हूँ
ज़र्रा तेरा जो अये शहे गर्दो जनाब हूँ
दर्रे नजफ़ हूँ गोहरे पाके खुशाब हूँ
यानी तुराबे रह-गुज़रे बु-तुराब हूँ
क्यों नाला सोज़ से करूँ, क्यों खूने दिल पियूं
शिखे कबाब हूँ न में जामे शराब हूँ
में तो कहा ही चाहूँ के बंदा हूँ शह का
पर लुत्फ़ जब है कह दें अगर वो जनाब हूँ
मिट जाए ये खुदी तो वो जलवा कहाँ नहीं
दर्दा में आप अपनी नज़र का हिजाब हूँ
दावा है सब से तेरी शफ़ाअत बेश्तर
दफ्तर में आसियों के शहा इंतेखाब हूँ
कालिब ताहि किये हमा-आगोश है हिलाल
अये शह-सवारे तयबाह में तेरी रिकाब हूँ
हसरत में ख़ाक बोसी-इ-तयबाह की अये रज़ा
टपका जो चश्मे महर से वो खूने नाब हूँ