naat.operaking.innaat.operaking.in

Press ESC to close

Khula hai sabhi ke liye Baabe Rahemat / खुला है सभी के लिए बाबे रेहमत

Muslim Life Pro App
Download
WhatsApp Group
Join Now
Muslim Life Pro 2site
Khula hai sabhi ke liye Baabe Rahemat
Wahaan koi Rutbe mein adnaa na aali
Muraadon se Daaman Nahin koi khaali
Kataarein lagaaye khade hein sawaali

Mein Pahele Pahel jab Madine gayaa tha
Toh thi Dil ki haalat tadap jaane waali
Woh Darbar sach much Mere samne tha
Abhi tak tasawwur tha jis ka khayaali

Jo Ek Haath se Dil sambhaale hue tha
To thi Dusre Haath mein Unki jaali
Dua ke liye Haath uthte to kaise
Na ye Haath khali na wo Haath khali

Jo puchha hai Tumne ke Mein nazar karne
Ko kya le gaya tha to tafseel sun lo
Tha Naaton ka Ek haar ashkon ke moti
Duroodon ka gajra, Salaamon ki daali

Dhani Apni qismat ka hai to wohi hai
Dayaare Nabi jisne aankhon se dekha
Mukaddar hai saccha mukaddar Usi ka
Nigaahe Karam jispe Aaqa ne daali

Mein Us aastaane Haram ka gada hun
Jahaan sar jukaate hein shaahane Aalam
Muje Taajdaron se kam mat samajna
Mera sar hai shaayaane Taaje Bilaali
 
Mein Toseefe Sarkaar to kar raha hun
Magar Apni Auqaat se baa-khabar hun
Mein Sirf Ek Adnaa Sana-Khwaan hun Unka
Kahaan Mein Kahaan Naate Kamaalo Haali

Khula hai sabhi ke liye Baabe Rahemat
Wahaan koi Rutbe mein adnaa na aali
Muraadon se Daaman Nahin koi khaali
Kataarein lagaaye khade hein sawaali
 
 

खुला है सभी के लिए बाबे रेहमत
वहाँ कोई रुतबे में अदना न आली
मुरादों से दामन नहीं कोई खाली
कतारें लगाए खड़े हैं सवाली

में पहले पहल जब मदीने गया था
तो थी दिल की हालत तड़प जाने वाली
वोह दरबार सचमुच मेरे सामने था
अभी तक तसव्वुर था जिसका ख़याली

में एक हाथ से दिल संभाले हुए था
तो थी दूसरे हाथ रोज़े की जाली
दुआ के लिए हाथ उठते तो कैसे
न ये हाथ खाली न वो हाथ खाली

जो पूछा है तुमने के में नज़र करने
को क्या ले गया था तो तफ्सील सुन लो
था नातों का एक हार, अश्कों के मोती
दुरूदों का गजरा , सलामों की डाली

धनि अपनी क़िस्मत का है तो वही है
दायरे नबी जिसने आँखों से देखा
मुकद्दर है सच्चा मुकद्दर उसी का
निगाहें करम जिसपे आक़ा ने डाली

में उस आस्ताने हरम का गदा हूँ
जहां सर जुकाते हैं शाहाने आलम
मुझे ताजदरों से कम मत समझना
मेरा सर है शायाने ताजे बिलाली

में तौसीफ़ी सरकार तो कर रहा हूँ
मगर अपनी औक़ात से बा-खबर हूँ
में सिर्फ एक अदना सना-ख्वां हूँ उनका
कहाँ में कहाँ नाते कमालो हाली

खुला है सभी के लिए बाबे रेहमत
वहाँ कोई रुतबे में अदना न आली
मुरादों से दामन नहीं कोई खाली
कतारें लगाए खड़े हैं सवाली
2 Slot Ads

Leave a comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

google news follow us