Ramzan ke Roze aaye, Dil jhoom jhoom jaaye
Aye Mere Allah ! Mujpe Karam ye farmana
Roza rakkhunga saheri me.n Mujko uthwana
Ramzan ke Roze aaye, Dil jhoom jhoom jaaye
Ham Roza rakhna chahe.n, Mama Ham.n samjaaye
Roza rakhna agle saal, Roza rakhna agle saal
Din hai bada aur Tum ho chhote, Maan bhi jaao na Mere Bete
Bhook lagegi Pyas lagegi, Sara Din kuchh kha nahi.n sakte
Abhi to chhote bacche ho, maana ke man ke scche ho
Maa ki aankh ke taare ho, Baba ke dulaare ho
Roza ab ke saal rakhna, Maan lo beta baat hamari
Dhoom dhaam se Laal hamare ! Roza-Pachai hogi Tumhari
Meri Maa ne bola beta thik hai Roza rakh lena
Baccho.n ka roza aadha hai, Din me.n khana kha lena
Mama-Papa Pyar kar.n aur Dadu bole.n khalo kuchh
Maan ke Gharwalo.n ka kehna, kha leta hu.n Mai.n khana
Jo Roza nahi.n rakhte, Wo acchhe nahi.n hote
Unhe.n Rab na bakhshega, Jo Rab se nahi.n darte
Jo Roza rakhte he.n, Unhe.n sehat de Maula
Jo Roza rakhte he.n, Unhe.n himmat de Maula
Hasan Imam Qadri ko bakhsh de Maula
Acchhi tarha se jaan gaye, Maa-Baap ka kehna maan gaye
Roza rakhe.nge agle saal, Roza rakhe.nge agle saal