::

Search

पुर-नूर है ज़माना सुब्ह-ए-शब-ए-विलादत / Pur-Noor Hai Zamana Subh-e-Shab-e-Wiladat

  • Share this:
पुर-नूर है ज़माना सुब्ह-ए-शब-ए-विलादत / Pur-Noor Hai Zamana Subh-e-Shab-e-Wiladat

pur-noor hai zamaana sub.h-e-shab-e-wilaadat
parda uTha hai kis ka sub.h-e-shab-e-wilaadat

jalwa hai haq ka jalwa sub.h-e-shab-e-wilaadat
saaya KHuda ka saaya sub.h-e-shab-e-wilaadat

fasl-e-bahaar aai, shakl-e-nigaar aai
gulzaar hai zamaana sub.h-e-shab-e-wilaadat

phoolo.n se baaG mehke, shaaKHo.n pe murG chehke
'ahd-e-bahaar aaya sub.h-e-shab-e-wilaadat

dil jagmaga rahe hai.n, qismat chamak uThi hai
phaila naya ujaala sub.h-e-shab-e-wilaadat

aai nai hukoomat, sikka naya chalega
'aalam ne rang badla sub.h-e-shab-e-wilaadat

rooh-ul-amee.n ne gaa.Da kaa'be ki chhat pe jhanda
taa-'arsh u.Da pharera sub.h-e-shab-e-wilaadat

pa.Dhte hai.n 'arsh waale, sunte hai.n farsh waale
sultaan-e-nau ka KHutba sub.h-e-shab-e-wilaadat

din phir gae hamaare, sote naseeb jaage
KHursheed hi wo chamka sub.h-e-shab-e-wilaadat

pyaare rabi'-ul-awwal ! teri jhalak ke sadqe
chamka diya naseeba sub.h-e-shab-e-wilaadat

nausha banaao un ko, dulha banaao un ko
hai 'arsh tak ye shohra sub.h-e-shab-e-wilaadat

shaadi rachi hui hai, bajte hai.n shaadiyaane
dulha bana wo dulha sub.h-e-shab-e-wilaadat

'arsh-e-'azeem jhoome, kaa'ba zameen choome
aata hai 'arsh waala sub.h-e-shab-e-wilaadat

aamad ka shor sun kar, ghar aae hai.n bhikaari
ghere kha.De hai.n rasta sub.h-e-shab-e-wilaadat

aao faqeero ! aao, munh maangi aas paao
baab-e-kareem hai waa sub.h-e-shab-e-wilaadat

sookhi zabaano.n ! aao, ai jalti jaano ! aao
lehra raha hai dariya sub.h-e-shab-e-wilaadat

teri chamak damak se 'aalam chamak raha hai
mere bhi baKHt chamka sub.h-e-shab-e-wilaadat

baanTa hai do-jahaa.n me.n, tu ne ziya ka baa.Da
de de Hasan ka hissa sub.h-e-shab-e-wilaadat


Poet:

Maulana Hassan Raza Khan Bareilwi

Naat-Khwaan:

Owais Raza Qadri
Mushtaq Qadri

 

पुर-नूर है ज़माना सुब्ह-ए-शब-ए-विलादत
पर्दा उठा है किस का सुब्ह-ए-शब-ए-विलादत

जल्वा है हक़ का जल्वा सुब्ह-ए-शब-ए-विलादत
साया ख़ुदा का साया सुब्ह-ए-शब-ए-विलादत

फ़स्ल-ए-बहार आई, शक्ल-ए-निगार आई
गुलज़ार है ज़माना सुब्ह-ए-शब-ए-विलादत

फूलों से बाग़ महके, शाख़ों पे मुर्ग़ चहके
'अहद-ए-बहार आया सुब्ह-ए-शब-ए-विलादत

दिल जगमगा रहे हैं, क़िस्मत चमक उठी है
फैला नया उजाला सुब्ह-ए-शब-ए-विलादत

आई नई हुकूमत, सिक्का नया चलेगा
'आलम ने रंग बदला सुब्ह-ए-शब-ए-विलादत

रूह-उल-अमीं ने गाड़ा का'बे की छत पे झंडा
ता-'अर्श उड़ा फरेरा सुब्ह-ए-शब-ए-विलादत

पढ़ते हैं 'अर्श वाले, सुनते हैं फ़र्श वाले
सुल्तान-ए-नौ का ख़ुत्बा सुब्ह-ए-शब-ए-विलादत

दिन फिर गए हमारे, सोते नसीब जागे
ख़ुर्शीद ही वो चमका सुब्ह-ए-शब-ए-विलादत

प्यारे रबी'-उल-अव्वल ! तेरी झलक के सदक़े
चमका दिया नसीबा सुब्ह-ए-शब-ए-विलादत

नौशा बनाओ उन को, दूल्हा बनाओ उन को
है 'अर्श तक ये शोहरा सुब्ह-ए-शब-ए-विलादत

शादी रची हुई है, बजते हैं शादियाने
दूल्हा बना वो दूल्हा सुब्ह-ए-शब-ए-विलादत

'अर्श-ए-'अज़ीम झूमे, का'बा ज़मीन चूमे
आता है 'अर्श वाला सुब्ह-ए-शब-ए-विलादत

आमद का शोर सुन कर, घर आए हैं भिकारी
घेरे खड़े हैं रस्ता सुब्ह-ए-शब-ए-विलादत

आओ फ़क़ीरो ! आओ, मुँह माँगी आस पाओ
बाब-ए-करीम है वा सुब्ह-ए-शब-ए-विलादत

सूखी ज़बानों ! आओ, ऐ जलती जानो ! आओ
लहरा रहा है दरिया सुब्ह-ए-शब-ए-विलादत

तेरी चमक दमक से 'आलम चमक रहा है
मेरे भी बख़्त चमका सुब्ह-ए-शब-ए-विलादत

बाँटा है दो-जहाँ में तू ने ज़िया का बाड़ा
दे दे हसन का हिस्सा सुब्ह-ए-शब-ए-विलादत


शायर:

मौलाना हसन रज़ा ख़ान बरेलवी

ना'त-ख़्वाँ:

ओवैस रज़ा क़ादरी
मुश्ताक़ क़ादरी

Muslim Life Pro

Muslim Life Pro

Kam Wo Le Lijiye Tumko Jo Razi Kare, Theek Ho Naame Raza Tumpe Karoro Durood.

best naat |rapid naat test |naat test |urdu naat |har waqt tasawwur mein naat lyrics |a to z naat mp3 download |junaid jamshed naat |new naat sharif |naat assay |naat allah hu allah |naat audio |naat allah allah |naat app |naat allah mera sona hai |naat arabic |naat aptima |naat akram rahi|naat album |arabic naat |audio naat |audio naat download |ab to bas ek hi dhun hai naat lyrics |aye sabz gumbad wale naat lyrics |arbi naat |atif aslam naat |allah huma sale ala naat lyrics |rabic naat ringtone |naat blood test |naat by junaid jamshed  |naat beautiful |naat book |naat battery |naat by veena malik |nat bug |naat bhar do jholi |est naat 2023 | naat 2024 coming soon |bangla naat |best naat in urdu |beautiful naat |naat lyrics in english |naat lyrics in hindi|naat lyrics in urdu |naat lyrics in english and hindi