Bibi Zaynab ne kaha Baaba se Karbobalaa mein
Paani band kar diya Baaba
Paani band kar diya Baaba
Mehmaan-Nawaazi ke koi kyaa
Hote hein Aadaab Ye Baaba
Padh ke Daastane Karbalaa Roti hai Kayenaat bhi Baaba
Daswi ka Din na nikaltaa Roti hai Raat bhi Baaba
Das Moharram ki Shab Lambi ho jaati
Sooraj so jaata Use Aesi neend aati
Jaagta na Sooraj to Sub'ha na hoti
Karbalaa mein Shaame Gareeban na hoti
Sub'ha se mil kar gale Baaba Roti hai Raat bhi Baaba
Padh ke Daastane Karbalaa Roti hai Kayenaat bhi Baaba
Daswi ka Din na nikaltaa Roti hai Raat bhi Baaba
Paani band kar diya Baaba
Paani band kar diya Baaba
Mehmaan-Nawaazi ke koi kyaa
Hote hein Aadaab Ye Baaba
Roti hai Sakeena Jhule ko chumti hai
Saare Ghar mein Nanhe Asghar ko dhundhti hai
Is Qadar Sakeena Paani bachaati hai
Aankhon mein aaye to Usko chhupati hai
Abr bhi barsa nahin Baaba Roti hai Barsaat bhi Baaba
Padh ke Daastane Karbalaa Roti hai Kayenaat bhi Baaba
Daswi ka Din na nikaltaa Roti hai Raat bhi Baaba
Paani band kar diya Baaba
Paani band kar diya Baaba
Mehmaan-Nawaazi ke koi kyaa
Hote hein Aadaab Ye Baaba
Naher mein to Paani ab bhi tadap raha hai
Aake Kinaare pe Pyaason ko dhundhta hai
Teer ne Asghar ki Jo Pyaas bujhaayi hai
Behte hue Paani ko chain na aaya hai
Dariyaa Samandar liye Baaba Roti hai Farrat bhi Baaba
Padh ke Daastane Karbalaa Roti hai Kayenaat bhi Baaba
Daswi ka Din na nikaltaa Roti hai Raat bhi Baaba
Paani band kar diya Baaba
Paani band kar diya Baaba
Mehmaan-Nawaazi ke koi kyaa
Hote hein Aadaab Ye Baaba
Aana tha Shaghun ka Din khoon ki nadiyaan baheti hein
Na rahi mahendi lagana Gham ki aandhi chalti hai
Bhai ke Sar pe Sughraa Sehraa Sajaati hai
Khwaab mein darti hai aur jaagke kehti hai
Khair nahin hai Mere Baaba Roti hai Baraat bhi Baaba