Naam-e-Ahmed ye wo naam hai jo agar
Be-iradah bhi muh se nikal jayega
Raah ki sang reze bikhar jayenge
Ahle bedard ka dil pighal jayega
Amna (ra) ki zara god bharne to do
Sare aalam ka naksha badal jayega
Sunten hain ayaten but shikan ki khabar
Kufr iman ke saanche me dhal jayega
Naam-e-Ahmed ye wo naam hai jo agar
Be-iradah bhi muh se nikal jayega
Raah ki sang reze bikhar jayenge
Ahle bedard ka dil pighal jayega
Kamli wale faqat kamli wale nahin
Unpe shaida hai ye asmaan-o-zameen
Ek ishare pe suraj palat ayega
Pair rakh den to patthar pighal jayega
Naam-e-Ahmed ye wo naam hai jo agar
Be-iradah bhi muh se nikal jayega
Raah ki sang reze bikhar jayenge
Ahle bedard ka dil pighal jayega
Sidrat-ul-muntaha par jo pahunche nabi
Sar jhuka kar ye jibrail kahne lage
Ya habib-e-khuda ab siwa aap ke
Is se aage jo jayega jal jayega
Naam-e-Ahmed ye wo naam hai jo agar
Be-iradah bhi muh se nikal jayega
Raah ki sang reze bikhar jayenge
Ahl-e-bedard ka dil pighal jayega