Musallam hai Zamaane mein Wafaa Siddiqe Akbar ki
Rizaa-e-Mustafa hi hai Rizaa Siddiqe Akbar ki
Musallam hai Zamaane mein Wafaa Siddiqe Akbar ki
Wohi Atqaa , Wohi Awfa , Wohi Aadal , Wohi Afzal
Hai kaisi Munfarid Har Har adaa Siddiqe Akbar ki
Musallam hai Zamaane mein Wafaa Siddiqe Akbar ki
Lutaaya Jisne Maalo Jaan ko Raahe Nubuwwat mein
Nabi pe Har Quraabat thi Fidaa Siddiqe Akbar ki
Musallam hai Zamaane mein Wafaa Siddiqe Akbar ki
Diya kis ko Musalla , Mustafa ne bhi Khuda ne bhi
Nazar aayi Ye Azmat baarha Siddiqe Akbar ki
Maqaame Afzale Ummat ko baaham tolne waalon
Ali Maula se puchho Iqtidaa Siddiqe Akbar ki
Musallam hai Zamaane mein Wafaa Siddiqe Akbar ki
Wohi Chamkaa Zamaane mein Wilaayat ki bulandi par
Padi Ik baar bhi Jispe Nigaah Siddiqe Akbar ki
Musallam hai Zamaane mein Wafaa Siddiqe Akbar ki
Aye Aasif ! Ye Nigaahe Mustafa ki hi Tajalli hai
Mili Saadaat se Mujko ataa Siddiqe Akbar ki