::

Search

Muharram ka roze Ashura ke Roze ki Fazilat / मुहर्रम के रोजे आशूरा के रोजे की फजीलत

  • Share this:
Muharram ka roze  Ashura ke Roze ki Fazilat / मुहर्रम के रोजे आशूरा के रोजे की फजीलत

Muslim Life Pro App!

 Ashure ka Roza

۞ Hadees: Abdullah bin Abbas (R.A.) se riwayat hai ki,
Jab Allah ke Rasool (ﷺ) ne Ashure ke Din
10 Muharram ka Roza rakha aur Hukm (Order) kiya is Rozey ka,
tou logo ne Arz kiya, Ya RasoolAllah(ﷺ) ! ye din to aisa hai ki
iski Taazim Yahud aur Nasara karte hain.

Tou Aap (ﷺ) ne farmaya ki Jab Agla Saal aayega to
In’ sha’ Allah Hum 9 ka Roza Rakhege,

Aakhir Agla Saal na aane paya ki Aap (ﷺ) is dunia se Rukhsat kar gaye.
(isliye hum Musalman 9 aur 10 dono ka Roza rakhte hain).

📕 Sahih Muslim, Vol 3, 2666

Aashura ke Roze ki Fazilat:

۞ Hadees: Abu Qatada al-Ansari (R.A.) se riwayat hai ki,

RasoolAllah (ﷺ) se Ashura (10 Muharram) ke din ke Rozey ke bare mein pucha tou
Aap (ﷺ) ne farmaya –

‘Ye Guzrey huye Saal ke Gunahon ka kaffara hai.’

📕 Sahih Muslim, Vol 3, 2747

 Yahudi Ashure ka Roza kyu Rakhte they ?

10th Muharram ko Allah Ta’ala ne Hazrath Musa (Alaihi Salam)

ki Ummat ko Firoun ki Qaid se Azad karwaya aur Firoun ko Paani me Garkh Kar diya tha.

Lihaja is ke Shukrane ke taur par Musaa (Alaihi salam) ki Ummat ye Ashoora ka Roza rakhti thi,

aur Ummat-e-Mohammadiya ko 9 aur 10 ya phir 10 aur 11 ka Roza Rakhna hai.
Ta’ake Yahud aur Nasara se Musabahat na ho aur unki mukhalifat ho.

Ulema Unki Mukhalifat ke talluk se kehte hai ke unki Mukhalifat ka hukm isiliye kyunki wo Qoum bhi Aizaz paane ke baad Allah aur uske Nabiyo ke Hukm ki mukhalifat karne lag gaye they. lihaja unki mukhalifat me hume ek ke bajaye 2 roze rakhne ka hukm mila.

NOTE: 9 aur 10 ya phir 10 aur 11 ka Roza Rakh sakte hai.

Allah Ta’ala hume kehney sunney sey ziyada amal ki toufeeq aata farmaye. Ameen

 

आशूरा का रोज़ा

۞ हदीस: अब्दुल्लाह बिन अब्बास (र.अ.) से रिवायत है कि, जब अल्लाह के रसूल (ﷺ) ने आशूरा के दिन 10 मुहर्रम का रोज़ा रखा और हुक्म (आदेश) दिया इस रोज़े का, तो लोगों ने अर्ज़ किया, या रसूलअल्लाह (ﷺ)! यह दिन तो ऐसा है कि इसकी ताज़िम यहूद और नसारा करते हैं।

तो आप (ﷺ) ने फरमाया कि जब अगला साल आएगा तो इंशा अल्लाह हम 9 का रोज़ा रखेंगे।

आखिर अगला साल ना आने पाया कि आप (ﷺ) इस दुनिया से रुखसत कर गए। (इसलिए हम मुसलमान 9 और 10 दोनों का रोज़ा रखते हैं)।

📕 सहीह मुस्लिम, वॉल्यूम 3, 2666

आशूरा के रोज़े की फज़ीलत:

۞ हदीस: अबू कतादा अल-अंसारी (र.अ.) से रिवायत है कि, रसूलअल्लाह (ﷺ) से आशूरा (10 मुहर्रम) के दिन के रोज़े के बारे में पूछा तो आप (ﷺ) ने फरमाया –

'यह गुज़रे हुए साल के गुनाहों का कफ्फारा है।'

📕 सहीह मुस्लिम, वॉल्यूम 3, 2747

यहूदी आशूरा का रोज़ा क्यों रखते थे?

10 मुहर्रम को अल्लाह तआला ने हज़रत मूसा (अलैहि सलाम) की उम्मत को फिरऔन की क़ैद से आज़ाद करवाया और फिरऔन को पानी में ग़रक कर दिया था।

लिहाज़ा इसके शुक्राने के तौर पर मूसा (अलैहि सलाम) की उम्मत यह आशूरा का रोज़ा रखती थी, और उम्मत-ए-मोहम्मदिया को 9 और 10 या फिर 10 और 11 का रोज़ा रखना है ताकि यहूद और नसारा से मुसाबाहत ना हो और उनकी मुखालिफत हो।

उलमा उनकी मुखालिफत के तअल्लुक से कहते हैं कि उनकी मुखालिफत का हुक्म इसलिए क्योंकि वह क़ौम भी ऐज़ाज़ पाने के बाद अल्लाह और उसके नबियों के हुक्म की मुखालिफत करने लग गई थी। लिहाज़ा उनकी मुखालिफत में हमें एक के बजाय 2 रोज़े रखने का हुक्म मिला।

नोट: 9 और 10 या फिर 10 और 11 का रोज़ा रख सकते हैं।

अल्लाह तआला हमें कहने सुनने से ज्यादा अमल की तौफीक अता फरमाए। आमीन

Muharram Mein Muravvijah Taziyadare ka Masala /  मुहर्रम में मुरव्विजह ताज़ियादारी का मसला

Dua e Ashura | Ashura ki Dua / आशूरा की दुआ

2 Slot Ads

Muslim Life Pro

Muslim Life Pro

Kam Wo Le Lijiye Tumko Jo Razi Kare, Theek Ho Naame Raza Tumpe Karoro Durood.

best naat |rapid naat test |naat test |urdu naat |har waqt tasawwur mein naat lyrics |a to z naat mp3 download |junaid jamshed naat |new naat sharif |naat assay |naat allah hu allah |naat audio |naat allah allah |naat app |naat allah mera sona hai |naat arabic |naat aptima |naat akram rahi|naat album |arabic naat |audio naat |audio naat download |ab to bas ek hi dhun hai naat lyrics |aye sabz gumbad wale naat lyrics |arbi naat |atif aslam naat |allah huma sale ala naat lyrics |rabic naat ringtone |naat blood test |naat by junaid jamshed  |naat beautiful |naat book |naat battery |naat by veena malik |nat bug |naat bhar do jholi |est naat 2023 | naat 2024 coming soon |bangla naat |best naat in urdu |beautiful naat |naat lyrics in english |naat lyrics in hindi|naat lyrics in urdu |naat lyrics in english and hindi