::

Search

मेरे आक़ा आए हैं सज गया ज़माना है / Mere Aaqa Aaye Hain Saj Gaya Zamana Hai

  • Share this:
मेरे आक़ा आए हैं सज गया ज़माना है / Mere Aaqa Aaye Hain Saj Gaya Zamana Hai

Muslim Life Pro App!

baarahwin ka noor dil pe chha gaya
aa gae nabi, aa gae nabi

assalaamu 'alaika ya mustafa !
assalaamu 'alaika ya mustafa !

mere sarkaar aae, jhoomo
mere dildaar aae, jhoomo
mere sardaar aae, jhoomo
mere Gam-KHwaar aae, jhoomo

sarkaar ki aamad ! marhaba !
dildaar ki aamad ! marhaba !
Gam-KHwaar ki aamad ! marhaba !
manThaar ki aamad ! marhaba !
awwal ki aamad ! marhaba !
aaKHir ki aamad ! marhaba !
sarwar ki aamad ! marhaba !
dilbar ki aamad ! marhaba !

aa gae nabi, aa gae nabi

mere aaqa aae hai.n saj gaya zamaana hai
mere aaqa aae hai.n saj gaya zamaana hai

mehki mehki hai.n galiya.n, rang kyu.n suhaana hai ?
rehmato.n ka kyu.n sar pe aaj shaamiyaana hai ?
marhaba ka har lab par aaj kyu.n taraana hai ?

mere aaqa aae hai.n saj gaya zamaana hai
mere aaqa aae hai.n saj gaya zamaana hai

aamina ke pyaare ka jashn ham manaaenge
jhande bhi lagaaenge, ghar ko bhi sajaaenge
naGma un ki aamad ka jhoom kar sunaaenge
jashn hai shah-e-dee.n ka sab ko ye bataana hai

mere aaqa aae hai.n saj gaya zamaana hai
mere aaqa aae hai.n saj gaya zamaana hai

un ke aane se pehle zulm har-soo hota tha
aah ! beTiya.n pyaari dafn hoti thi.n zinda
ro rahi thi har bewa, the yateem afsurda
miT gaya jo aae wo daur zaalimaana hai

mere aaqa aae hai.n saj gaya zamaana hai
mere aaqa aae hai.n saj gaya zamaana hai

jashn hai ye un ka jo chaand ke kare.n Tuk.De
shaan wo mili rab se, pe.D bhi kare.n sajde
wo jo chaahe.n, sooraj bhi Doob kar palaT aae
rab se martaba paaya aap ne yagaana hai

mere aaqa aae hai.n saj gaya zamaana hai
mere aaqa aae hai.n saj gaya zamaana hai

baarahwin ka noor dil pe chha gaya
aa gae nabi, aa gae nabi

sarkaar ki aamad ! marhaba !
dildaar ki aamad ! marhaba !
Gam-KHwaar ki aamad ! marhaba !
manThaar ki aamad ! marhaba !
awwal ki aamad ! marhaba !
aaKHir ki aamad ! marhaba !
sarwar ki aamad ! marhaba !
dilbar ki aamad ! marhaba !

aaj bazm-e-'aalam me.n rehmat-e-KHuda ban kar
be-sahaaro.n, mazloomo.n ka wo aasra ban kar
dardmando.n ke haq me.n baa'is-e-shifa ban kar
wo ki jin ko bin dekhe har koi deewana hai

mere aaqa aae hai.n saj gaya zamaana hai
mere aaqa aae hai.n saj gaya zamaana hai

aamina ki godi me.n aae jab mere aaqa
aasmaa.n se taare bhi lene aae the sadqa
dekh kar ke kaa'ba bhi un ko wajd me.n aaya
zikr un ki aamad ka kis-qadar suhaana hai

mere aaqa aae hai.n saj gaya zamaana hai
mere aaqa aae hai.n saj gaya zamaana hai

mustafa ke sadqe hi ye jahaa.n bana, 'Aasim !
zindagi bhi hai paai, deen-e-haq mila, 'Aasim !
maal kya hai ! aaqa par jaan bhi fida, 'Aasim !
jab talak hai jaa.n baaqi, jashn ye manaana hai

mere aaqa aae hai.n saj gaya zamaana hai
mere aaqa aae hai.n saj gaya zamaana hai


Poet:

Muhammad Asim ul Qadri Moradabadi

Naat-Khwaan:

Zohaib Ashrafi

 

बारहवीं का नूर दिल पे छा गया
आ गए नबी, आ गए नबी

अस्सलामु 'अलैका या मुस्तफ़ा !
अस्सलामु 'अलैका या मुस्तफ़ा !

मेरे सरकार आए, झूमो
मेरे दिलदार आए, झूमो
मेरे सरदार आए, झूमो
मेरे ग़म-ख़्वार आए, झूमो

सरकार की आमद ! मरहबा !
दिलदार की आमद ! मरहबा !
ग़म-ख़्वार की आमद ! मरहबा !
मंठार की आमद ! मरहबा !
अव्वल की आमद ! मरहबा !
आख़िर की आमद ! मरहबा !
सरवर की आमद ! मरहबा !
दिलबर की आमद ! मरहबा !

आ गए नबी, आ गए नबी

मेरे आक़ा आए हैं, सज गया ज़माना है
मेरे आक़ा आए हैं, सज गया ज़माना है

महकी महकी हैं गलियाँ, रंग क्यूँ सुहाना है ?
रहमतों का क्यूँ सर पे आज शामियाना है ?
मरहबा का हर लब पर आज क्यूँ तराना है ?

मेरे आक़ा आए हैं, सज गया ज़माना है
मेरे आक़ा आए हैं, सज गया ज़माना है

आमिना के प्यारे का जश्न हम मनाएँगे
झंडे भी लगाएँगे, घर को भी सजाएँगे
नग़्मा उन की आमद का झूम कर सुनाएँगे
जश्न है शह-ए-दीं का सब को ये बताना है

मेरे आक़ा आए हैं, सज गया ज़माना है
मेरे आक़ा आए हैं, सज गया ज़माना है

उन के आने से पहले ज़ुल्म हर-सू होता था
आह ! बेटियाँ प्यारी दफ़्न होती थीं ज़िंदा
रो रही थी हर बेवा, थे यतीम अफ़्सुर्दा
मिट गया जो आए वो दौर ज़ालिमाना है

मेरे आक़ा आए हैं, सज गया ज़माना है
मेरे आक़ा आए हैं, सज गया ज़माना है

जश्न है ये उन का जो चाँद के करें टुकड़े
शान वो मिली रब से, पेड़ भी करें सज्दे
वो जो चाहें, सूरज भी डूब कर पलट आए
रब से मर्तबा पाया आप ने यगाना है

मेरे आक़ा आए हैं, सज गया ज़माना है
मेरे आक़ा आए हैं, सज गया ज़माना है

बारहवीं का नूर दिल पे छा गया
आ गए नबी, आ गए नबी

सरकार की आमद ! मरहबा !
दिलदार की आमद ! मरहबा !
ग़म-ख़्वार की आमद ! मरहबा !
मंठार की आमद ! मरहबा !
अव्वल की आमद ! मरहबा !
आख़िर की आमद ! मरहबा !
सरवर की आमद ! मरहबा !
दिलबर की आमद ! मरहबा !

आए बज़्म-ए-'आलम में रहमत-ए-ख़ुदा बन कर
बे-सहारों, मज़लूमों का वो आसरा बन कर
दर्दमंदों के हक़ में बा'इस-ए-शिफ़ा बन कर
वो कि जिन को बिन देखे हर कोई दीवाना है

मेरे आक़ा आए हैं, सज गया ज़माना है
मेरे आक़ा आए हैं, सज गया ज़माना है

आमिना की गोदी में आए जब मेरे आक़ा
आसमाँ से तारे भी लेने आए थे सदक़ा
देख कर के का'बा भी उन को वज्द में आया
ज़िक्र उन की आमद का किस-क़दर सुहाना है

मेरे आक़ा आए हैं, सज गया ज़माना है
मेरे आक़ा आए हैं, सज गया ज़माना है

मुस्तफ़ा के सदक़े ही ये जहाँ बना, 'आसिम !
ज़िंदगी भी है पाई, दीन-ए-हक़ मिला, 'आसिम !
माल क्या है ! आक़ा पर जान भी फ़िदा, 'आसिम !
जब तलक है जाँ बाक़ी, जश्न ये मनाना है

मेरे आक़ा आए हैं, सज गया ज़माना है
मेरे आक़ा आए हैं, सज गया ज़माना है


शायर:

मुहम्मद आसिम-उल-क़ादरी मुरादाबादी

ना'त-ख़्वाँ:

ज़ोहैब अशरफ़ी

 

Muslim Life Pro

Muslim Life Pro

Kam Wo Le Lijiye Tumko Jo Razi Kare, Theek Ho Naame Raza Tumpe Karoro Durood.

best naat |rapid naat test |naat test |urdu naat |har waqt tasawwur mein naat lyrics |a to z naat mp3 download |junaid jamshed naat |new naat sharif |naat assay |naat allah hu allah |naat audio |naat allah allah |naat app |naat allah mera sona hai |naat arabic |naat aptima |naat akram rahi|naat album |arabic naat |audio naat |audio naat download |ab to bas ek hi dhun hai naat lyrics |aye sabz gumbad wale naat lyrics |arbi naat |atif aslam naat |allah huma sale ala naat lyrics |rabic naat ringtone |naat blood test |naat by junaid jamshed  |naat beautiful |naat book |naat battery |naat by veena malik |nat bug |naat bhar do jholi |est naat 2023 | naat 2024 coming soon |bangla naat |best naat in urdu |beautiful naat |naat lyrics in english |naat lyrics in hindi|naat lyrics in urdu |naat lyrics in english and hindi