::

Search

मीलाद था, मीलाद है, मीलाद रहेगा / Meelaad Tha, Meelaad Hai, Meelaad Rahega | Milad Tha, Milad Hai, Milad Rahega

  • Share this:
मीलाद था, मीलाद है, मीलाद रहेगा / Meelaad Tha, Meelaad Hai, Meelaad Rahega | Milad Tha, Milad Hai, Milad Rahega

Muslim Life Pro App!

marhaba ! marhaba ! marhaba ya mustafa !
marhaba ! marhaba ! marhaba ya mustafa !

aamina ka chaand aaya ! marhaba ! marhaba !
aamina ka chaand aaya ! marhaba ! marhaba !

sar pe saja ke 'amaama
naa'lain-e-paak laga ke
lab pe durood saja ke
meelaad karenge

meelaad pe har saal yahi naa'ra lagega
meelaad tha, meelaad hai, meelaad rahega

meelaad tha, meelaad hai, meelaad rahega
meelaad tha, meelaad hai, meelaad rahega

galiyaa.n, baazaar saje
masjid, meenar saje
'aashiqo.n ke ghar hai.n saje
ghar bhi saje, dil bhi saje
'ishq me.n meelaadi kahega

aa gae, aa gae, aae mere mustafa
aa gae, aa gae, aae mere mustafa

meelaad tha, meelaad hai, meelaad rahega

duniya me.n to meelaad manaate hi rahenge
zikr-e-rasool-e-paak sunaate hi rahenge
jashn-e-nabi ka hashr me.n bhi Danka bajega

meelaad tha, meelaad hai, meelaad rahega
meelaad tha, meelaad hai, meelaad rahega

gali-gali marhaba !
shahar-shahar marhaba !

falak ke nazaaro ! zamee.n ki bahaaro !
sab 'eide.n manaao, huzoor aa gae hai.n
uTho Gam ke maaro ! chalo be-sahaaro !
KHabar ye sunaao, huzoor aa gae hai.n

anokha niraala wo zee-shaan aaya
wo saare rasoolo.n ka sultaan aaya
are kaj-kulaaho ! are baadshaaho !
nigaahe.n jhukaao, huzoor aa gae hai.n

huaa chaar-soo rahmato.n ka basera
ujaala ujaala, sawera sawera
haleema ko pahunchi KHabar aamina ki
mere ghar me.n aao, huzoor aa gae hai.n

aa gae sarkaar mere ! marhaba ya mustafa !
aa gae dildaar mere ! marhaba ya mustafa !
sayyid-o-sardaar mere ! marhaba ya mustafa !
aa gae Gam-KHwaar mere ! marhaba ya mustafa !
aap meri shaan hai.n ! marhaba ya mustafa !
aap hi pahchaan hai.n ! marhaba ya mustafa !
aap meri aan hai.n ! marhaba ya mustafa !
momino.n ki jaan hai.n ! marhaba ya mustafa !
wallah ! imaan hai.n ! marhaba ya mustafa !

mere sarkaar aae ! mere dildaar aae !
mere sarkaar aae ! mere dildaar aae !

naseeb chamke hai.n farshiyo.n ke
ki 'arsh ke chaand aa rahe hai.n
jhalak se jin ki falak hai raushan
wo shams tashreef laa rahe hai.n

zamaana palTa hai, rut bhi badli
falak pe chhaai hui hai badli
tamaam jangal, bhare hai.n jal-thal
har ik chaman lah laha rahe hai.n

nisaar teri chahal-pahal par
hazaaro.n 'eide.n rabi-ul-awwal
siwaae iblis ke jahaa.n me.n
sabhi to KHushiyaa.n mana rahe hai.n

shab-e-wilaadat me.n sab musalmaa.n
na kyu.n kare.n jaan-o-maal qurbaa.n
abu lahab jaise saKHt qaafir
KHushi me.n jab faiz paa rahe hai.n

zamaane bhar ka ye qaa'ida hai
ki jis ka khaana usi ka gaana

tera khaawaa.n, mai.n tere geet gaawaa.n
ya rasoolallah !
tera meelaad mai.n kyu.n na manaawaa.n
ya rasoolallah !

haleema ghar kadi wekhe, kadi sarkaar nu.n
wekhe
mai.n keh.Di sej tere lai sajaawaa.n
ya rasoolallah !

zamaane bhar ka ye qaa'ida hai
ki jis ka khaana usi ka gaana
to ne'mate.n jin ki khaa rahe hai.n
unhi.n ke geet ham bhi gaa rahe hai.n

meelaad tha, meelaad hai, meelaad rahega
meelaad tha, meelaad hai, meelaad rahega

ham 'ishq me.n jeete bhi hai.n, marte bhi hai.n sun lo
koi bhi rukaawaT ho, ai shaitaan ke yaaro !
har haal me.n ghar ghar me.n ye meelaad sajega

meelaad tha, meelaad hai, meelaad rahega
meelaad tha, meelaad hai, meelaad rahega

sar pe saja ke 'amaama
naa'lain-e-paak laga ke
lab pe durood saja ke
meelaad karenge

aamina ka chaand aaya ! marhaba !
aamina ka chaand aaya ! marhaba !

hai kaul-e-sahaaba, ise ham zinda rakhenge
meelaad pe har saal julooso.n me.n chalenge
firdaus me.n bhi silsila ye jaari rahega

meelaad tha, meelaad hai, meelaad rahega
meelaad tha, meelaad hai, meelaad rahega

galiyaa.n, baazaar saje
masjid, meenar saje
'aashiqo.n ke ghar hai.n saje
ghar bhi saje, dil bhi saje
'ishq me.n meelaadi kahega

aa gae, aa gae, aae mere mustafa
aa gae, aa gae, aae mere mustafa

mahfil hai saji chaaro taraf jashn-e-nabi ki
is jashn me.n daa'wat hai bas 'ushshaaq-e-nabi ki
meelaad ka munkir to kabhi aa na sakega

meelaad tha, meelaad hai, meelaad rahega
meelaad tha, meelaad hai, meelaad rahegaa

aa gae, aa gae, aae mere mustafa !
aa gae, aa gae, aae mere mustafa !

'ushshaaq nikal jaae.n agar apne gharo.n se
Gairo.n ko haTa denge agar apni safo.n se
kaunain me.n har samt yahi goonj uThega

meelaad tha, meelaad hai, meelaad rahega
meelaad tha, meelaad hai, meelaad rahegaa

Tafseer ! yahi waqt hai taqdeer jaga le
sarkaar ka meelaad hai parcham ko uTha le
is me.n hi tera big.Da huaa kaam banega

meelaad tha, meelaad hai, meelaad rahega
meelaad tha, meelaad hai, meelaad rahegaa

galiyaa.n, baazaar saje
masjid, meenar saje
'aashiqo.n ke ghar hai.n saje
ghar bhi saje, dil bhi saje
'ishq me.n meelaadi kahega

aa gae, aa gae, aae mere mustafa
aa gae, aa gae, aae mere mustafa

aa gae sarkaar mere ! marhaba ya mustafa !
aa gae dildaar mere ! marhaba ya mustafa !
sayyid-o-sardaar mere ! marhaba ya mustafa !
aa gae Gam-KHwaar mere ! marhaba ya mustafa !
aap meri shaan hai.n ! marhaba ya mustafa !
aap hi pahchaan hai.n ! marhaba ya mustafa !
aap meri aan hai.n ! marhaba ya mustafa !
momino.n ki jaan hai.n ! marhaba ya mustafa !
wallah ! imaan hai.n ! marhaba ya mustafa !


Poet:

Tafseer Raza

Naat-Khwaan:

Hafiz Tahir Qadri and
Hafiz Ahsan Qadri

 

मरहबा ! मरहबा ! मरहबा या मुस्तफ़ा !
मरहबा ! मरहबा ! मरहबा या मुस्तफ़ा !

आमिना का चाँद आया ! मरहबा ! मरहबा !
आमिना का चाँद आया ! मरहबा ! मरहबा !

सर पे सजा के 'अमामा
ना'लैन-ए-पाक लगा के
लब पे दुरूद सजा के
मीलाद करेंगे

मीलाद पे हर साल यही ना'रा लगेगा
मीलाद था, मीलाद है, मीलाद रहेगा

मीलाद था, मीलाद है, मीलाद रहेगा
मीलाद था, मीलाद है, मीलाद रहेगा

गलियाँ, बाज़ार सजे
मस्जिद, मीनार सजे
'आशिक़ों के घर हैं सजे
घर भी सजे, दिल भी सजे
'इश्क़ में मीलादी कहेगा

आ गए, आ गए, आए मेरे मुस्तफ़ा
आ गए, आ गए, आए मेरे मुस्तफ़ा

मीलाद था, मीलाद है, मीलाद रहेगा

दुनिया में तो मीलाद मनाते ही रहेंगे
ज़िक्र-ए-रसूल-ए-पाक सुनाते ही रहेंगे
जश्न-ए-नबी का हश्र में भी डंका बजेगा

मीलाद था, मीलाद है, मीलाद रहेगा
मीलाद था, मीलाद है, मीलाद रहेगा

गली-गली मरहबा !
शहर-शहर मरहबा !

फ़लक के नज़ारो ! ज़मीं की बहारो !
सब 'ईदें मनाओ, हुज़ूर आ गए हैं
उठो ग़म के मारो ! चलो बे-सहारो !
ख़बर ये सुनाओ, हुज़ूर आ गए हैं

अनोखा निराला वो ज़ी-शान आया
वो सारे रसूलों का सुल्तान आया
अरे कज-कुलाहो ! अरे बादशाहो !
निगाहें झुकाओ, हुज़ूर आ गए हैं

हुवा चार-सू रहमतों का बसेरा
उजाला उजाला, सवेरा सवेरा
हलीमा को पहुँची ख़बर आमिना की
मेरे घर में आओ, हुज़ूर आ गए हैं

आ गए सरकार मेरे ! मरहबा या मुस्तफ़ा !
आ गए दिलदार मेरे ! मरहबा या मुस्तफ़ा !
सय्यिद-ओ-सरदार मेरे ! मरहबा या मुस्तफ़ा !
आ गए ग़म-ख़्वार मेरे ! मरहबा या मुस्तफ़ा !
आप मेरी शान हैं ! मरहबा या मुस्तफ़ा !
आप ही पहचान हैं ! मरहबा या मुस्तफ़ा !
आप मेरी आन हैं ! मरहबा या मुस्तफ़ा !
मोमिनों की जान हैं ! मरहबा या मुस्तफ़ा !
वल्लाह ! ईमान हैं ! मरहबा या मुस्तफ़ा !


मेरे सरकार आए ! मेरे दिलदार आए !
मेरे सरकार आए ! मेरे दिलदार आए !

नसीब चमके हैं फ़र्शियों के
कि 'अर्श के चाँद आ रहे हैं
झलक से जिन की फ़लक है रौशन
वो शम्स तशरीफ़ ला रहे हैं

ज़माना पलटा है, रुत भी बदली
फ़लक पे छाई हुई है बदली
तमाम जंगल, भरे हैं जल-थल
हर इक चमन लह लहा रहे हैं

निसार तेरी चहल-पहल पर
हज़ारों 'ईदें रबी-उल-अव्वल
सिवाए इब्लिस के जहाँ में
सभी तो ख़ुशियाँ मना रहे हैं

शब-ए-विलादत में सब मुसलमाँ
न क्यूँ करें जान-ओ-माल क़ुर्बां
अबू लहब जैसे सख़्त क़ाफ़िर
ख़ुशी में जब फ़ैज़ पा रहे हैं

ज़माने भर का ये क़ा'इदा है
कि जिस का खाना उसी का गाना

तेरा खावाँ, मैं तेरे गीत गावाँ, या रसूलल्लाह !
तेरा मीलाद मैं क्यूँ न मनावाँ, या रसूलल्लाह !

हलीमा घर कदी वेखे, कदी सरकार नूँ वेखे
मैं केहड़ी सेज तेरे लै सजावाँ, या रसूलल्लाह !

ज़माने भर का ये क़ा'इदा है
कि जिस का खाना उसी का गाना
तो ने'मतें जिन की खा रहे हैं
उन्हीं के गीत हम भी गा रहे हैं

मीलाद था, मीलाद है, मीलाद रहेगा
मीलाद था, मीलाद है, मीलाद रहेगा

हम 'इश्क़ में जीते भी हैं, मरते भी हैं, सुन लो
कोई भी रुकावट हो, ए शैतान के यारो !
हर हाल में घर घर में ये मीलाद सजेगा

मीलाद था, मीलाद है, मीलाद रहेगा
मीलाद था, मीलाद है, मीलाद रहेगा

सर पे सजा के 'अमामा
ना'लैन-ए-पाक लगा के
लब पे दुरूद सजा के
मीलाद करेंगे

आमिना का चाँद आया ! मरहबा !
आमिना का चाँद आया ! मरहबा !

है कौल-ए-सहाबा, इसे हम ज़िंदा रखेंगे
मीलाद पे हर साल जुलूसों में चलेंगे
फ़िरदौस में भी सिलसिला ये जारी रहेगा

मीलाद था, मीलाद है, मीलाद रहेगा
मीलाद था, मीलाद है, मीलाद रहेगा

गलियाँ, बाज़ार सजे
मस्जिद, मीनार सजे
'आशिक़ों के घर हैं सजे
घर भी सजे, दिल भी सजे
'इश्क़ में मीलादी कहेगा

आ गए, आ गए, आए मेरे मुस्तफ़ा
आ गए, आ गए, आए मेरे मुस्तफ़ा

महफ़िल है सजी चारो तरफ़ जश्न-ए-नबी की
इस जश्न में दा'वत है बस 'उश्शाक़-ए-नबी की
मीलाद का मुन्किर तो कभी आ न सकेगा

मीलाद था, मीलाद है, मीलाद रहेगा
मीलाद था, मीलाद है, मीलाद रहेगा

आ गए, आ गए, आए मेरे मुस्तफ़ा
आ गए, आ गए, आए मेरे मुस्तफ़ा

घर बार महल्ले को सजाएँगे हमेशा
यूँ महफ़िल-ए-मीलाद मनाएँगे हमेशा
जो जलता है इस से वो हमेशा ही जलेगा

मीलाद था, मीलाद है, मीलाद रहेगा
मीलाद था, मीलाद है, मीलाद रहेगा


'उश्शाक़ निकल जाएँ अगर अपने घरों से
ग़ैरों को हटा देंगे अगर अपनी सफ़ो से
कौनैन में हर सम्त यही गूँज उठेगा

मीलाद था, मीलाद है, मीलाद रहेगा

 

2 Slot Ads

Muslim Life Pro

Muslim Life Pro

Kam Wo Le Lijiye Tumko Jo Razi Kare, Theek Ho Naame Raza Tumpe Karoro Durood.

best naat |rapid naat test |naat test |urdu naat |har waqt tasawwur mein naat lyrics |a to z naat mp3 download |junaid jamshed naat |new naat sharif |naat assay |naat allah hu allah |naat audio |naat allah allah |naat app |naat allah mera sona hai |naat arabic |naat aptima |naat akram rahi|naat album |arabic naat |audio naat |audio naat download |ab to bas ek hi dhun hai naat lyrics |aye sabz gumbad wale naat lyrics |arbi naat |atif aslam naat |allah huma sale ala naat lyrics |rabic naat ringtone |naat blood test |naat by junaid jamshed  |naat beautiful |naat book |naat battery |naat by veena malik |nat bug |naat bhar do jholi |est naat 2023 | naat 2024 coming soon |bangla naat |best naat in urdu |beautiful naat |naat lyrics in english |naat lyrics in hindi|naat lyrics in urdu |naat lyrics in english and hindi