Khuda ka zikr kare zikr-e-mustafa na kare
hamare munh me.n ho aisi zubaa.n Khuda na kare
madine jaake nikal aana shaher se baahar
khuda na-khasta ye zindagi wafa na kare
nabi ke qadmo.n me.n jis dam gulaam ka sar ho
kaza se kehdo ke ek lamha bhi kaza na kare
dar-e-rasool pe aisa kabhi nahi.n dekha
koi sawal kare aur wo ata na kare
kaha khuda ne shafa'at ki baat mahshar me.n
mera habeeb kare koi dusra na kare
aseer jisko bana kar rakkhe madine me.n
tamaam umar rihayee ki wo dua na kare
shaoor-e-naat bhi ho aur zubaan bhi adeeb
wo aadami nahin jo inka haq ada na kare