::

Search

काबे के दर के सामने माँगी है ये दुआ फ़क़त / Kabe Ke Dar Ke Samne Mangi Hai Ye Dua Faqat

  • Share this:
काबे के दर के सामने माँगी है ये दुआ फ़क़त / Kabe Ke Dar Ke Samne Mangi Hai Ye Dua Faqat

kaa'be ke dar ke saamne maangi hai ye du'aa faqat
haatho.n me.n hashr tak rahe daaman-e-mustafa faqat

naz'a ke waqt jab meri saanso.n me.n intishaar ho
meri nazar ke saamne gumbad ho wo hara faqat

tayba ki sair ko chale.n, qadmo.n me.n un ke jaan de.n
dafn ho.n un ke shehr me.n, hai yahi iltija faqat

duniya ki saari ne'mate.n meri nazar me.n hech ho.n
rakhne ko sar pe gar mile.n naa'lain-e-mustafa faqat

apne karam se, ai KHuda ! 'ishq-e-rasool kar 'ata
aakhiri dam zabaa.n pe ho salle-'ala sada faqat

yu.n to har ik nabi wali rab ke huzoor hai.n shafee'
shafe'-e-roz-e-hashr ka ham ko hai aasra faqat

munkar-nakeer qabr me.n ham se sawaal jab kare.n
aise me.n wird ham rakhe.n aap ke naam ka faqat

naa't-e-rasool-e-paak hai Nazmi ka maqsad-e-hayaat
aaKHiri dam labo.n pe ho sarkaar ki sana faqat

naa't-e-rasool-e-paak hai Nazmi ka maqsad-e-hayaat
qabr me.n bhi labo.n pe ho sarkaar ki sana faqat


Poet:

Nazmi Miya Marahravi

Naat-Khwaan:

Owais Raza Qadri
Manazir Husain Badayuni

 

का'बे के दर के सामने माँगी है ये दु'आ फ़क़त
हाथों में हश्र तक रहे दामन-ए-मुस्तफ़ा फ़क़त

नज़'अ के वक़्त जब मेरी साँसों में इंतिशार हो
मेरी नज़र के सामने गुंबद हो वो हरा फ़क़त

तयबा की सैर को चलें, क़दमों में उन के जान दें
दफ़्न हों उन के शहर में, है यही इल्तिजा फ़क़त

दुनिया की सारी ने'मतें मेरी नज़र में हेच हों
रखने को सर पे गर मिलें ना'लैन-ए-मुस्तफ़ा फ़क़त

अपने करम से, ऐ ख़ुदा ! 'इश्क़-ए-रसूल कर 'अता
आख़िरी दम ज़बाँ पे हो सल्ले-'अला सदा फ़क़त

यूँ तो हर इक नबी वली रब के हुज़ूर हैं शफ़ी'
शाफ़े'-ए-रोज़-ए-हश्र का हम को है आसरा फ़क़त

मुन्कर-नकीर क़ब्र में हम से सवाल जब करें
ऐसे में विर्द हम रखें आप के नाम का फ़क़त

ना'त-ए-रसूल-ए-पाक है नज़्मी का मक़्सद-ए-हयात
आख़िरी दम लबों पे हो सरकार की सना फ़क़त

ना'त-ए-रसूल-ए-पाक है नज़्मी का मक़्सद-ए-हयात
क़ब्र में भी लबों पे हो सरकार की सना फ़क़त


शायर:

नज़्मी मियाँ मारहरवी

ना'त-ख़्वाँ:

ओवैस रज़ा क़ादरी
मनाज़िर हुसैन बदायूनी

Muslim Life Pro

Muslim Life Pro

Kam Wo Le Lijiye Tumko Jo Razi Kare, Theek Ho Naame Raza Tumpe Karoro Durood.

best naat |rapid naat test |naat test |urdu naat |har waqt tasawwur mein naat lyrics |a to z naat mp3 download |junaid jamshed naat |new naat sharif |naat assay |naat allah hu allah |naat audio |naat allah allah |naat app |naat allah mera sona hai |naat arabic |naat aptima |naat akram rahi|naat album |arabic naat |audio naat |audio naat download |ab to bas ek hi dhun hai naat lyrics |aye sabz gumbad wale naat lyrics |arbi naat |atif aslam naat |allah huma sale ala naat lyrics |rabic naat ringtone |naat blood test |naat by junaid jamshed  |naat beautiful |naat book |naat battery |naat by veena malik |nat bug |naat bhar do jholi |est naat 2023 | naat 2024 coming soon |bangla naat |best naat in urdu |beautiful naat |naat lyrics in english |naat lyrics in hindi|naat lyrics in urdu |naat lyrics in english and hindi