jaan-e-rahmat, shaan-e-rahmat aamina ka laal hai
saari duniya ki zaroorat aamina ka laal hai
shaan-e-rahmat, jaan-e-rahmat aamina ka laal hai
saari duniya ki zaroorat aamina ka laal hai
god me.n le kar ke aaqa ko haleema ne kaha
chaand se bhi KHoobsoorat aamina ka laal hai
teri Gurbat ko miTa dega ye kuchh hi waqt me.n
ai haleema ! teri qismat aamina ka laal hai
bole ungli par nacha kar baab-e-KHaibar ko 'ali
mere baazuo.n ki taaqat aamina ka laal hai
kehte the ayyub ansaari, nabi ko dekh kar
mere ghar ki zeb-o-zeenat aamina ka laal hai
Naat-Khwaan:
Khwaja Ghulam Sarwar
जान-ए-रहमत, शान-ए-रहमत आमिना का लाल है
सारी दुनिया की ज़रूरत आमिना का लाल है
शान-ए-रहमत, जान-ए-रहमत आमिना का लाल है
सारी दुनिया की ज़रूरत आमिना का लाल है
गोद में ले कर के आक़ा को हलीमा ने कहा
चाँद से भी ख़ूबसूरत आमिना का लाल है
तेरी ग़ुर्बत को मिटा देगा ये कुछ ही वक़्त में
ऐ हलीमा ! तेरी क़िस्मत आमिना का लाल है
बोले उँगली पर नचा कर बाब-ए-ख़ैबर को 'अली
मेरे बाज़ुओं की ताक़त आमिना का लाल है
कहते थे अय्यूब अंसारी, नबी को देख कर
मेरे घर की ज़ेब-ओ-ज़ीनत आमिना का लाल है
ना'त-ख़्वाँ:
ख़्वाजा ग़ुलाम सरवर