Jabeene Ijz ke Sajde luta kar Unke kooche mein
Muqaddar Apna chamkaaeinge jaa kar Unke kooche mein
Kisi Surat Hamaara Ab Yahaan par jee nahin lagta
Hamein baade Saba le jaa udaa kar Unke kooche mein
Jab aaye Maut Khaake Taybaah mal kar Jism par Mere
Supurde Khaak kar dena Sajaa kar Unke kooche mein
Kabhi Ham Gumbade Khazra ko dekheinge kabhi khud ko
Nigaahein baar baar Apni utha kar Unke kooche mein
Unhein Ham Dil hi Dil Haale Dil Apna Sunaaeinge
Zamaane ki Nigaahon se chhupa kar Unke kooche mein
Hai Tubhi Andalibe Gulsitaane Mustafa Nayyar
Suna Nagmein Muhammad ke Tu ja kat Unke kooche mien
मुक़द्दर अपना चमकाएंगे जा कर उनके कूचे में
किसी सूरत हमारा अब यहां जी नहीं लगता
हमें बादे सबा ले जा उड़ा कर उनके कूचे में
कभी हम गुम्बदे ख़ज़रा को देखेंगे कभी खुद को
निगाहें बार बार अपनी उठा कर उनके कूचे में
उन्हें हम दिल ही दिल हाले दिल अपना सनाएँगे
ज़माने की निगाहों से छुपा कर उनके कूचे में
है तू भी अंदलीबे गुल्सिताने मुस्तफा नय्यर
सुना नग्में मुहम्मद के तू जा कर उनके कूचे में