::

Search

इलाही तेरी चौखट पर भिकारी बन के आया हूँ / Ilahi Teri Chaukhat Par Bhikari Ban Ke Aaya Hoon | Ilahi Teri Chokhat Par Bhikari Ban Ke Aaya Hoon

  • Share this:
इलाही तेरी चौखट पर भिकारी बन के आया हूँ / Ilahi Teri Chaukhat Par Bhikari Ban Ke Aaya Hoon | Ilahi Teri Chokhat Par Bhikari Ban Ke Aaya Hoon

ilaahi ! teri chaukhaT par bhikaari ban ke aaya hu.n
saraapa faqr hu.n, 'ijz-o-nadaamat saath laaya hu.n

bhikaari wo ki jis ke paas jholi hai na pyaala hai
bhikaari wo jise hirs-o-hawas ne maar Daala hai

mata'-e-deen-o-daanish nafs ke haatho.n se luTwa kar
sukoon-e-qalb ki daulat hawas ki bheT cha.Dhwa kar

luTa kar saari poonji gaflat-o-'isyaa.n ke daldal me.n
sahaara lene aaya hu.n tere kaa'be ke aanchal me.n

gunaaho.n ki lipaT se kaainaat-e-qalb afsurda
iraade muzmahil, himmat shikasta, hausle murda

kahaa.n se laau.n taaqat dil ki sachchi tarjumaani ki
ki kis janjaal me.n guzri hai.n gha.Diya.n zindgaani ki

KHulaasa ye ki bas jal bhun ke pani roo-siyaahi se
saraapa faqr ban kar apni haalat ki tabaahi se

tere darbaar me.n laaya hu.n apni ab zabu.n-haali
teri chaukhaT ke laaiq har 'amal se haath hai.n KHaali

ye tera ghar hai, tere mehr ka darbaar hai, maula !
saraapa noor hai ik mahbat-e-anwaar hai, maula !

teri chaukhaT ke jo aadaab hai.n mai.n un se KHaali hu.n
nahi.n jis ko saleeqa maangne ka wo sawaali hu.n

zubaa.n Garq-e-nadaamat dil ki naaqis tarjumaani par
KHudaya ! rahm meri is zabaan-e-be-zabaani par

ye aankhe.n KHushk hai.n, ya rab ! inhe.n rona nahi.n aata
sulagte daaG hai.n dil me.n jinhe.n dhona nahi.n aata

ilaahi ! teri chaukhaT par bhikaari ban ke aaya hu.n
saraapa faqr hu.n, 'ijz-o-nadaamat saath laaya hu.n


Poet:

Mufti Muhammad Taqi Usmani

Naat-Khwaan:

Junaid Jamshed
Aqib Farid

 

इलाही ! तेरी चौखट पर भिकारी बन के आया हूँ
सरापा फ़क़्र हूँ, 'इज्ज़-ओ-नदामत साथ लाया हूँ

भिकारी वो कि जिस के पास झोली है न प्याला है
भिकारी वो जिसे हिर्स-ओ-हवस ने मार डाला है

मता'-ए-दीन-ओ-दानिश नफ़्स के हाथों से लुटवा कर
सुकून-ए-क़ल्ब की दौलत हवस की भेट चढ़वा कर

लुटा कर सारी पूँजी ग़फ़लत-ओ-'इस्याँ के दलदल में
सहारा लेने आया हूँ तेरे का'बे के आँचल में

गुनाहों की लिपट से काइनात-ए-क़ल्ब अफ़सुर्दा
इरादे मुज़्महिल, हिम्मत शिकस्ता, हौसले मुर्दा

कहाँ से लाऊँ ताक़त दिल की सच्ची तर्जुमानी की
कि किस जंजाल में गुज़री हैं घड़ियाँ ज़िंदगानी की

ख़ुलासा ये कि बस जल भुन के अपनी रू-सियाही से
सरापा फ़क़्र बन कर अपनी हालत की तबाही से

तेरे दरबार में लाया हूँ अपनी अब ज़बूँ-हाली
तेरी चौखट के लाइक़ हर 'अमल से हाथ हैं ख़ाली

ये तेरा घर है, तेरे मेहर का दरबार है, मौला !
सरापा नूर है इक महबत-ए-अनवार है, मौला !

तेरी चौखट के जो आदाब हैं मैं उन से ख़ाली हूँ
नहीं जिस को सलीक़ा माँगने का वो सवाली हूँ

ज़ुबाँ ग़र्क़-ए-नदामत दिल की नाक़िस तर्जुमानी पर
ख़ुदाया ! रहम मेरी इस ज़बान-ए-बे-ज़बानी पर

ये आँखें ख़ुश्क हैं, या रब ! इन्हें रोना नहीं आता
सुलगते दाग़ हैं दिल में जिन्हें धोना नहीं आता

इलाही ! तेरी चौखट पर भिकारी बन के आया हूँ
सरापा फ़क़्र हूँ, 'इज्ज़-ओ-नदामत साथ लाया हूँ


शायर:

मुफ़्ती मुहम्मद तक़ी उस्मानी

ना'त-ख़्वाँ:

जुनैद जमशेद
आक़िब फ़रीद

Muslim Life Pro

Muslim Life Pro

Kam Wo Le Lijiye Tumko Jo Razi Kare, Theek Ho Naame Raza Tumpe Karoro Durood.

best naat |rapid naat test |naat test |urdu naat |har waqt tasawwur mein naat lyrics |a to z naat mp3 download |junaid jamshed naat |new naat sharif |naat assay |naat allah hu allah |naat audio |naat allah allah |naat app |naat allah mera sona hai |naat arabic |naat aptima |naat akram rahi|naat album |arabic naat |audio naat |audio naat download |ab to bas ek hi dhun hai naat lyrics |aye sabz gumbad wale naat lyrics |arbi naat |atif aslam naat |allah huma sale ala naat lyrics |rabic naat ringtone |naat blood test |naat by junaid jamshed  |naat beautiful |naat book |naat battery |naat by veena malik |nat bug |naat bhar do jholi |est naat 2023 | naat 2024 coming soon |bangla naat |best naat in urdu |beautiful naat |naat lyrics in english |naat lyrics in hindi|naat lyrics in urdu |naat lyrics in english and hindi