Haider Haider Mola / हैदर हैदर मौला
dam dam 'ali 'ali dam dam
dam dam 'ali 'ali dam dam
dil ke ho gar ameer to bolo 'ali 'ali
soya nahi.n zameer to bolo 'ali 'ali
shaayad ye zikr har kisi ke baKHt me.n kahaa.n
Gairat ka hai KHameer to bolo 'ali 'ali
dam dam 'ali 'ali dam dam
haidar haidar maula haidar haidar maula
haidar haidar maula haidar haidar maula
Gaus-o-KHwaja ke lab par hai jin ke naam ka naa'ra
haidar haidar maula haidar haidar maula
haidar haidar maula haidar haidar maula
tera rajab hai, bint-e-asad ! aao kaa'be me n aao
aaj 'ali aaenge yahi.n par tum bhi ye kehti jaao
jum'e ke din kaa'be ke andar sher KHuda ka aaya
haidar haidar maula haidar haidar maula
haidar haidar maula haidar haidar maula
jin ke naam se aaj bhi baatil par hai haibat taari
naam liya hai jab jab un ka sar se mushkil bhaagi
bhaagta hai shaitaan bhi sun kar, naam hai un ka aisa
haidar haidar maula haidar haidar maula
haidar haidar maula haidar haidar maula
aisi KHuda ne di hai quwwat, tanha to.Da KHaibar
mar.hab ke Tuk.Do.n ne kaha hai waaqa'i hai ye haidar
har maidaan me.n baatil ka lashkar hai un se haara
haidar haidar maula haidar haidar maula
haidar haidar maula haidar haidar maula
mere aaqa ne mimbar par cha.Dh kar KHoob kaha hai
naam 'ali ka le kar ye e'laa.n maidaa.n me.n kiya hai
sun lo jin ka mai.n maula hu.n, haidar us ka maula
haidar haidar maula haidar haidar maula
haidar haidar maula haidar haidar maula
zahra ke dar ka mangta hu.n mai.n, ye pehchaan hai meri
mere liye, Qayyaam Raza KHairaat hai un ki kaafi
saari duniya khaati hai hasnain ke ghar ka Tuk.Da
haidar haidar maula haidar haidar maula
haidar haidar maula haidar haidar maula
dam dam 'ali 'ali dam dam
dam dam 'ali 'ali dam dam
दम दम 'अली 'अली दम दम
दम दम 'अली 'अली दम दम
दिल के हो गर अमीर तो बोलो 'अली 'अली
सोया नहीं ज़मीर तो बोलो 'अली 'अली
शायद ये ज़िक्र हर किसी के बख़्त में कहाँ
ग़ैरत का है ख़मीर तो बोलो 'अली 'अली
दम दम 'अली 'अली दम दम
हैदर हैदर मौला हैदर हैदर मौला
हैदर हैदर मौला हैदर हैदर मौला
ग़ौस-ओ-ख़्वाजा के लब पर है जिन के नाम का ना'रा
हैदर हैदर मौला हैदर हैदर मौला
हैदर हैदर मौला हैदर हैदर मौला
तेरा रजब है, बिन्त-ए-असद ! आओ का'बे में आओ
आज 'अली आएँगे यहीं पर तुम भी ये कहती जाओ
जुम'ए के दिन का'बे के अंदर शेर ख़ुदा का आया
हैदर हैदर मौला हैदर हैदर मौला
हैदर हैदर मौला हैदर हैदर मौला
जिन के नाम से आज भी बातिल पर है हैबत तारी
नाम लिया है जब जब उन का सर से मुश्किल भागी
भागता है शैतान भी सुन कर, नाम है उन का ऐसा
हैदर हैदर मौला हैदर हैदर मौला
हैदर हैदर मौला हैदर हैदर मौला
ऐसी ख़ुदा ने दी है क़ुव्वत, तन्हा तोड़ा ख़ैबर
मरहब के टुकड़ों ने कहा है वाक़'ई है ये हैदर
हर मैदान में बातिल का लश्कर है उन से हारा
हैदर हैदर मौला हैदर हैदर मौला
हैदर हैदर मौला हैदर हैदर मौला
मेरे आक़ा ने मिम्बर पर चढ़ कर ख़ूब कहा है
नाम 'अली का ले कर ये ए'लाँ मैदाँ में किया है
सुन लो जिन का मैं मौला हूँ, हैदर उस का मौला
हैदर हैदर मौला हैदर हैदर मौला
हैदर हैदर मौला हैदर हैदर मौला
ज़हरा के दर का मँगता हूँ मैं, ये पहचान है मेरी
मेरे लिए, क़य्याम रज़ा ख़ैरात है उन की काफ़ी
सारी दुनिया खाती है हसनैन के घर का टुकड़ा
हैदर हैदर मौला हैदर हैदर मौला
हैदर हैदर मौला हैदर हैदर मौला
दम दम 'अली 'अली दम दम
दम दम 'अली 'अली दम दम