Gham sabhi Rahato Taskeen mein dhal jate hein
Jab karam hota hai halat badal jate hein
Unki Rehmat hai khata-posh gunahgaron ki
Khote sikke bhi sare bazar bhi chal jate hein
Isme Ahmed ka wazifa hai har ek gham ka ilaj
Laakh khatre ho isi naam se tal jate hein
Apni aagosh mein le leta hai jab unka Karam
Zindagi ke sabhi andaz badal jate hein
Rakh hi lete hein bharam Unke Karam ke sadqe
Jab kisi baat pe diwane machal jate hein
Aa pade hein Tere qadmon mein ham bhi ye sun kar
Jo Tere qadmon mein gir te hein sambhal jate hein
Koi dekhe to zara Unki duhaee dekar
Ishq Sadiq ho to Patthar bhi pigal jate hein
Aap ko Qaba-e-Maqsood hi mano Khalid
Aapke dar pe sab Arman nikal jate hein
Kaif-yawar hai wahi qatre jahan mein Khalid
Sokhare-Naat se qatre jo uchhal jate hein