Banda Tere Nisar Aaqa
Bigda Jaata Hai Khail Mera
Aqa Aqa Sanvar Aaqa
Manjadar pe Ake Naao dubi
De Hath ke hun mein paar Aaqa
Tooti Jaati hai Peeth Meri
Lillah ye Boj Utar Aaqa
Halka hai Agar Hamara Palla
Bhari hai Tera Waqqar Aaqa
Majboor hein ham To Fikar kya hai
Tum Ko To hai Ikhtiyar Aaqa
Mein Door hun Tum To Ho Mere Paas
Sun Lo Meri Pukaar Aaqa
Muj sa Koi Gham Zada Na Hoga
Tum sa Nahin Gham Ghusar Aaqa
Girdaab mein pad gayi hai kashti
Dooba Dooba , Utaar Aaqa
Tum Wo Ke Karam Ko Naaz Tum Se
Mein Wo Ke Badi Ko aar Aaqa
Fir Munh Na Pade Kabhi Khazan Ka
De De Aesi Bahar Aaqa
Jiski Marzi Khuda Na Taale
Mera Hai Wo Namdar Aaqa
Hai Mulk-e-Khuda Pe Jis Ka Kabza
Mera Hai Wo Kamghar Aaqa
Soya kiye nabikar bande
Roya kiye zaar zaar Aaqa
Kya Bhool hai In ke hote kehlaein
Dunya ke ye Tajdar Aaqa
Unke Adna Ghada Pe Mit Jaaein
Aese Aese Hazar Aaqa
Be Abr-e-Karam Ke Mere Dhabbhe
La Tagsiluha l Behar Aaqa
Itni Rehmat RAZA Pe Karlo
La Yaqrubuhu al Bawar Aaqa