dilo.n se gam mitaata hai muhammad naam aisa hai
nagar ujade basaata hai muhammad naam aisa hai
unhi.n ke naam se paayi fakiro.n ne shahenshahi
KHuda se bhi milaata hai, muhammad naam aisa hai
unhi.n ke zikr se roshan, rute.n fir laut aati he.n
nasibo.n ko jagaata hai muhammad naam aisa hai
duroodo.n ki mahek se, mehfile.n aabad rehti he.n
meri naate.n sajaata hai, muhammad naam aisa hai
mohabbat ke kamal khilte he.n, unko yaad karne se
badi khushbue.n laata hai, muhammad naam aisa hai
madad haasil hai mujhko, har gadi shaah-e-madina ki
meri bigdi banaata hai, muhammad naam aisa hai
mai.n fakhri fikr-e-duniya-aakhirat sab bhul jaata hu.n
mujhe jab yaad aata hai, muhammad naam aisa hai