dar-e-nabi par ye umar beete, ho hampe lutf-e-dawaam aisa
madine waale kahei.n makaami, ho unke dar pe qayaam aisa
dar-e-nabi par ye umar beete, ho hampe lutf-e-dawaam aisa
bilaal tujh par nisaar jaau.n, ke khud nabi ne tujhe kharida
naseeb ho to naseeb aisa, ghulaam ho to ghulaam aisa
dar-e-nabi par ye umar beete, ho hampe lutf-e-dawaam aisa
namaaz aqsa mei.n jab padaaee, to ambiya aur rusool ye bole
namaaz ho to namaaz aisi, imaam ho to imaam aisa
dar-e-nabi par ye umar beete, ho hampe lutf-e-dawaam aisa
labo.n pe naam-e-nabi jab aaya, gurez-paa haadaso.n ko paaya
jo Taal deta hai mushkilo.n ko, mere nabi ka hai naam aisa
dar-e-nabi par ye umar beete, ho hampe lutf-e-dawaam aisa
mujhi ko dekho wo be-talab hi, nawaazte jaa rahe hei.n paiham
na koi mera 'amal hai aisa, na koi mera hai kaam aisa
dar-e-nabi par ye umar beete, ho hampe lutf-e-dawaam aisa
hei.n jitne 'akl-o-khirad ke daawe , kab unke garde safar ko pahunche
koi bhi ab tak samaj na paaya, hai mustafa ka makaam aisa
dar-e-nabi par ye umar beete, ho hampe lutf-e-dawaam aisa
husain quraan ke hei.n wo qaari, jo nok-e-neza pe bhi ye bole
siwa KHuda ke na sar jukaana, diya jahaa.n ko payaam aisa
dar-e-nabi par ye umar beete, ho hampe lutf-e-dawaam aisa
mai.n KHalid apne nabi pe qurbaa.n, hai jinka KHulq-e-'azeem quraa.n
hai roshni jiski do jahaa.n mei.n, kahi.n hai maah-e-tamaam aisa
dar-e-nabi par ye umar beete, ho hampe lutf-e-dawaam aisa
मदीने वाले कहें मकामी, हो उनके दर पर क़याम ऐसा
बिलाल तुझपर निसार जाऊं, के खुद नबी ने तुजे ख़रीदा
नसीब हो तो नसीब ऐसा, गुलाम हो तो गुलाम ऐसा
नमाज़ अक़्सा में जब पड़ाई, तो अम्बिया और रुसूल ये बोले
नमाज़ हो तो नमाज़ ऐसी, इमाम हो तो इमाम ऐसा
लबों पे नाम-ए-नबी जब आया, गुरेज़-पा हादसों को पाया
दर-ए-नबी पर ये उम्र बीते, हो हमपे लुत्फ़-ए-दवाम ऐसा
हैं जितने अक़्ल-ओ-ख़िरद के दावे, कब उनके गर्द-ए-सफर को पहुंचे
दर-ए-नबी पर ये उम्र बीते, हो हमपे लुत्फ़-ए-दवाम ऐसा
हुसैन क़ुरआन के है वो क़ारी, जो नोक-ए-नेज़ा पे भी ये बोले
दर-ए-नबी पर ये उम्र बीते, हो हमपे लुत्फ़-ए-दवाम ऐसा
मुजी को देखो वो बे-तलब ही, नवाज़ते जा रहे हैं पैहम
न कोई मेरा 'अमल है ऐसा, न कोई मेरा है काम ऐसा
दर-ए-नबी पर ये उम्र बीते, हो हमपे लुत्फ़-ए-दवाम ऐसा