::

Search

Bekhud Kiye Dete Hain Andaz-e-Hijabana / बेख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना

  • Share this:
Bekhud Kiye Dete Hain Andaz-e-Hijabana / बेख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना

Muslim Life Pro 2site

Be-KHud kiye dete hai.n andaaz-e-hijaabaana
aa dil me n tujhe rakh lu n, ai jalwa-e-jaanaana 

itna to karam karna, ai chashm-e-kareemaana 
jab jaan labo n par ho, tum saamne aa jaana

kyu n aankh milaai thi, kyu.n aag lagaai thi
ab ruKH ko chhupa baiThe kar ke mujhe deewana

jee chaahta hai tohfe me n bheju.n mai n unhe.n aankhe n
darshan ka to darshan ho, nazraane ka nazraana

kya lutf ho mehshar me.n, qadmo.n me.n giru.n un ke
sarkaar kahe.n dekho, deewana hai deewana 

kya lutf ho mehshar me.n mai n shikwe kiye jaau  n
wo hans ke kahe jaae n, deewana hai deewana 

mai.n hosh-o-hawaas apne is baat pe kho baiTha
jab tu ne kaha hans ke, aaya mera deewana

peene ko to pee loonga, par 'arz zara si hai
ajmer ka saaqi ho, baGdaad ka mai-KHaana

Bedam  meri qismat me.n chakkar hai.n isi dar ke
chhooTa hai na chhooTega mujh se dar-e-jaanaana

saaqi tere aate hi ye josh hai masti ka
sheeshe pe gira sheesha, paimaane pe paimaana

maa'loom nahi.n, Bedam  mai.n kaun hu.n aur kya hu n
yu n apno me.n apna hu n, begaano n me n begaana

 

बे-ख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना
आ दिल में तुझे रख लूँ, ऐ जल्वा-ए-जानाना 

इतना तो करम करना, ऐ चश्म-ए-करीमाना 
जब जान लबों पर हो, तुम सामने आ जाना

क्यूँ आँख मिलाई थी, क्यूँ आग लगाई थी
अब रुख़ को छुपा बैठे कर के मुझे दीवाना

जी चाहता है तोहफ़े में भेजूँ मैं उन्हें आँखें
दर्शन का तो दर्शन हो, नज़राने का नज़राना

क्या लुत्फ़ हो महशर में, क़दमों में गिरूँ उन के
सरकार कहें देखो, दीवाना है दीवाना !

क्या लुत्फ़ हो महशर में मैं शिकवे किए जाऊँ
वो हँस के कहे जाएँ दीवाना है दीवाना

मैं होश-ओ-हवास अपने इस बात पे खो बैठा
जब तू ने कहा हँस के, आया मेरा दीवाना

पीने को तो पी लूँगा, पर 'अर्ज़ ज़रा सी है
अजमेर का साक़ी हो, बग़दाद का मय-ख़ाना

बेदम  मेरी क़िस्मत में चक्कर हैं इसी दर के
छूटा है न छूटेगा मुझ से दर-ए-जानाना

साक़ी तेरे आते ही ये जोश है मस्ती का
शीशे पे गिरा शीशा, पैमाने पे पैमाना

मा'लूम नहीं, बेदम  मैं कौन हूँ और क्या हूँ
यूँ अपनों में अपना हूँ, बेगानों में बेगाना

Muslim Life Pro Team

Muslim Life Pro Team

Muslim Life Pro Team

best naat |rapid naat test |naat test |urdu naat |har waqt tasawwur mein naat lyrics |a to z naat mp3 download |junaid jamshed naat |new naat sharif |naat assay |naat allah hu allah |naat audio |naat allah allah |naat app |naat allah mera sona hai |naat arabic |naat aptima |naat akram rahi|naat album |arabic naat |audio naat |audio naat download |ab to bas ek hi dhun hai naat lyrics |aye sabz gumbad wale naat lyrics |arbi naat |atif aslam naat |allah huma sale ala naat lyrics |rabic naat ringtone |naat blood test |naat by junaid jamshed  |naat beautiful |naat book |naat battery |naat by veena malik |nat bug |naat bhar do jholi |est naat 2023 | naat 2024 coming soon |bangla naat |best naat in urdu |beautiful naat |naat lyrics in english |naat lyrics in hindi|naat lyrics in urdu |naat lyrics in english and hindi