::

Search

अरब से शाम तक जो रौशनी है | मेरे सरकार की आमद हुई है / Arab Se Sham Tak Jo Raushni Hai | Mere Sarkar Ki Aamad Hui Hai

  • Share this:
अरब से शाम तक जो रौशनी है | मेरे सरकार की आमद हुई है / Arab Se Sham Tak Jo Raushni Hai | Mere Sarkar Ki Aamad Hui Hai
'arab se shaam tak jo raushni hai
mere sarkaar ki aamad hui hai

haleema bi chali.n aaqa ko le kar
ajab teji me.n un ki unTni hai

mahal bhi jhuk ke dete hai.n salaami
haleema bi ki aisi jhonp.Di hai

bashar ki baat kya ! duniya ki har shai
nabi ki naa't sun kar jhoomti hai

nabi ki naa't ke aage Gazal bhi
adab se haath ko baandhe kha.Di hai

magas phoolo.n ke ras ko munh me.n rakh kar
durood-e-paak un par pa.Dh rahi hai

laga munh me.n ghula hai shahd-e-naayaab
wo zikr-e-mustafa ki chaashni hai

koi keh de ki chal shahar-e-nabi ko
madine se ijaazat mil gai hai

hai.n siddiq-o-'umar pehloo me.n un ke
nabi se kitni gehri dosti hai

munaafiq to munaafiq hai, zamee.n bhi
'umar ka naam sun kar kaanpti hai

tere dar ki gadaai, mere aaqa !
jahaa.n ki baadshaahi se bhali hai

nabi ke zikr ki ye barkate.n hai.n
meri saanso.n me.n KHushboo si basi hai

nabi se 'ishq to sab ko hai lekin
juda sab se bilaali 'aashiqi hai

hai jis ke dil me.n Gam ibn-e-'ali ka
zamaane me.n wahi sab se dhani hai

ham is nisbat pe qurba.n kyu.n na jaae.n ?
hamaara Gaus-e-aa'zam faatimi hai

fana ke baa'd ham zinda rahenge
hamaare dil me.n saabir kaliyari hai

jise sab mo'jiza aaqa ka bole.n
wahi ahmad raza KHaa.n qaadri hai

suno to basti-basti qarya-qarya
yahi aawaaz har-soo goonjti hai

jahaan-e-sunniyat ke dil ki dha.Dkan
mera aKHtar raza KHaa.n az.hari hai

nichhaawar jis pe hai.n shaahaan-e-duniya
wo surkaahi ka ik teG-e-'ali hai

jise kilk-e-raza kehti hai duniya
samajh lo wo 'asa-e-mooswi hai

mere maKHdoom phir dulha bane hai.n
niraali shaan ki shaadi rachi hai

dar-e-maKHdoom pe tum aa ke dekho
hawa shahar-e-nabi se aa rahi hai

mere aaqa ! dikha do apna jalwa
Asad ki aankh kab se hasrati hai

Asad ! ye faiz hai aKHtar ka warna
ye duniya kab kisi ko poochhti hai


Poet:

Asad Iqbal Kalkattvi

Naat-Khwaan:

Asad Iqbal Kalkattvi
 
'अरब से शाम तक जो रौशनी है
मेरे सरकार की आमद हुई है

हलीमा बी चलीं आक़ा को ले कर
अजब तेजी में उन की ऊँटनी है

महल भी झुक के देते हैं सलामी
हलीमा बी की ऐसी झोंपड़ी है

बशर की बात क्या ! दुनिया की हर शय
नबी की ना'त सुन कर झूमती है

नबी की ना'त के आगे ग़ज़ल भी
अदब से हाथ को बाँधे खड़ी है

मगस फूलों के रस को मुँह में रख कर
दुरूद-ए-पाक उन पर पढ़ रही है

लगा मुँह में घुला है शहद-ए-नायाब
वो ज़िक्र-ए-मुस्तफ़ा की चाशनी है

कोई कह दे कि चल शहर-ए-नबी को
मदीने से इजाज़त मिल गई है

हैं सिद्दीक़-ओ-'उमर पहलू में उन के
नबी से कितनी गहरी दोस्ती है

मुनाफ़िक़ तो मुनाफ़िक़ है, ज़मीं भी
'उमर का नाम सुन कर काँपती है

तेरे दर की गदाई, मेरे आक़ा !
जहाँ की बादशाही से भली है

नबी के ज़िक्र की ये बरकतें हैं
मेरी साँसों में ख़ुश्बू सी बसी है

नबी से 'इश्क़ तो सब को है लेकिन
जुदा सब से बिलाली 'आशिक़ी है

है जिस के दिल में ग़म इब्न-ए-'अली का
ज़माने में वही सब से धनी है

हम इस निस्बत पे क़ुर्बां क्यूँ न जाएँ ?
हमारा ग़ौस-ए-आ'ज़म फ़ातिमी है

फ़ना के बा'द हम ज़िंदा रहेंगे
हमारे दिल में साबिर कलियरी है

जिसे सब मो'जिज़ा आक़ा का बोलें
वही अहमद रज़ा ख़ाँ क़ादरी है

सुनो तो बस्ती-बस्ती क़र्या-क़र्या
यही आवाज़ हर-सू गूँजती है

जहान-ए-सुन्नियत के दिल की धड़कन
मेरा अख़्तर रज़ा ख़ाँ अज़हरी है

निछावर जिस पे हैं शाहान-ए-दुनिया
वो सुरकाही का इक तेग़-ए-'अली है

जिसे किल्क-ए-रज़ा कहती है दुनिया
समझ लो वो 'असा-ए-मूसवी है

मेरे मख़्दूम फिर दूल्हा बने हैं
निराली शान की शादी रची है

दर-ए-मख़्दूम पे तुम आ के देखो
हवा शहर-ए-नबी से आ रही है

मेरे आक़ा ! दिखा दो अपना जल्वा
असद की आँख कब से हसरती है

असद ! ये फ़ैज़ है अख़्तर का वर्ना
ये दुनिया कब किसी को पूछती है


शायर:

असद इक़बाल कलकत्तवी

ना'त-ख़्वाँ:

असद इक़बाल कलकत्तवी
Muslim Life Pro

Muslim Life Pro

Kam Wo Le Lijiye Tumko Jo Razi Kare, Theek Ho Naame Raza Tumpe Karoro Durood.

best naat |rapid naat test |naat test |urdu naat |har waqt tasawwur mein naat lyrics |a to z naat mp3 download |junaid jamshed naat |new naat sharif |naat assay |naat allah hu allah |naat audio |naat allah allah |naat app |naat allah mera sona hai |naat arabic |naat aptima |naat akram rahi|naat album |arabic naat |audio naat |audio naat download |ab to bas ek hi dhun hai naat lyrics |aye sabz gumbad wale naat lyrics |arbi naat |atif aslam naat |allah huma sale ala naat lyrics |rabic naat ringtone |naat blood test |naat by junaid jamshed  |naat beautiful |naat book |naat battery |naat by veena malik |nat bug |naat bhar do jholi |est naat 2023 | naat 2024 coming soon |bangla naat |best naat in urdu |beautiful naat |naat lyrics in english |naat lyrics in hindi|naat lyrics in urdu |naat lyrics in english and hindi