Akhtar Rza Khan Tajus-Shariyya
Akhtar Rza Khan Tajus-Shariyya
Tera Paygam-e-Amal Maslake Aala Hazrat
Daulate Ishqe Risalat hai Asasa Tera
Wah Kya Rang hai Azhari Dulha Tera
Noori Poshak hai Razwi hai Amama Tera
Mere Maslak ki Aawaz Aala Hazrat ka Jaanbaaz
Akhtar Raza Akhtar Raza Akhtar Raza Mera
Hubahu Mufti-e-Aazam ki jalak hai Tuj mein
Istiqamat ki bulandi pe hai Taqwa Tera
Wah Kya Rang hai Azhari Dulha Tera
Ahle Haq kehne lage Taaje Shariyat Tujko
Johare Ilmo Amal Sabne jo dekha Tera
Mere Maslak ki Aawaz Aala Hazrat ka Jaanbaaz
Akhtar Raza Akhtar Raza Akhtar Raza Mera
Apni Qismat pe sada naaz karenge Wo Log
Dekha hai Jinki nigahon ne bhi chehra Tera
Kyun na Qurban ho Dilo Jaan se Ham sab In par
Shahe Asjad mein nazar aata hai Jalwa Tera
Tere Hathon mein diya Hath to Fazle Rabb se
Sath Jannat mein bhi Ham sab ko milega Tera
Wah Kya Rang hai Azhari Dulha Tera
Teri Tehreer se gayeel hein Nabi ke Dushman
Tez hai khanjaro shamsheer se khama Tera
Mere Maslak ki Aawaz Aala Hazrat ka Jaanbaaz
Akhtar Raza Akhtar Raza Akhtar Raza Mera
Teri Aagoshe Karam mein hai Fareedi ki hayat
Har musibat se bachata hai sahara Tera
Wah Kya Rang hai Azhari Dulha Tera
Noori Poshak hai Razwi hai Amama Tera
Wah Kya Rang hai Azhari Dulha Tera
Mere Maslak ki Aawaz Aala Hazrat ka Jaanbaaz
Akhtar Raza Akhtar Raza Akhtar Raza Mera