::

Search

अब तो बस एक ही धुन है कि मदीना देखूँ / Ab To Bas Ek Hi Dhun Hai Ke Madina Dekhun

  • Share this:
अब तो बस एक ही धुन है कि मदीना देखूँ / Ab To Bas Ek Hi Dhun Hai Ke Madina Dekhun

ab to bas ek hi dhun hai ki madina dekhu.n
ab to bas ek hi dhun hai ki madina dekhu.n

aaKHri 'umr me.n kya raunaq-e-duniya dekhu.n
ab to bas ek hi dhun hai ki madina dekhu.n

aaKHri waqt me.n kya raunaq-e-duniya dekhu.n
ab to bas ek hi dhun hai ki madina dekhu.n

az-ufaq taa-ba-ufaq ek hi jalwa dekhu.n
jis taraf aankh uThe rauza-e-waala dekhu.n

'aaqibat meri sanwar jaae jo tayba dekhu.n
dast-e-imroz me.n aaina-e-farda dekhu.n

mai.n kaha hu.n, ye samajh lu.n to uThaau.n nazre.n
dil sambhal jaae to mai.n jaanib-e-KHazra dekhu.n

mai.n kaha hu.n, ye samajh lu.n to uThaau.n nazre.n
dil jo sambhle to mai.n phir gumbad-e-KHazra dekhu.n

mai.n ne jin aankho.n se dekha hai kabhi shehr-e-nabi
aur in aankho.n se ab kya koi jalwa dekhu.n

baa'd-e-rehlat bhi jo sarkaar ko mahboob raha
ab in aankho.n se mai.n KHush-baKHt wo hujra dekhu.n

jaaliya.n dekhu.n ki deewaar-o-dar-o-baam-e-haram
apni maa'zoor nigaaho.n se mai.n kya-kya dekhu.n

mere maula ! meri aankhe.n mujhe waapas kar de
taa-ki is baar mai.n jee bhar ke madina dekhu.n

jin gali koocho.n se guzre hai.n kabhi mere huzoor
un me.n taa-hadd-e-nazar naqsh-e-kaf-e-paa dekhu.n

taa-ki aankho.n ka bhi ehsaan uThaana na pa.De
qalb KHud aaina ban jaae, mai.n itna dekhu.n

kaash, Iqbal ! yunhi 'umr basar ho meri
sub.h kaa'be me.n ho aur shaam ko tayba dekhu.n


Poet:

Iqbal Azeem

Naat-Khwaan:

Owais Raza Qadri
Hafiz Ahmed Raza Qadri



ab to bas ek hi dhun hai ki madina dekhu.n
ab to bas ek hi dhun hai ki madina dekhu.n

mere maula ! meri aankhe.n mujhe waapas kar de
taa-ki is baar mai.n jee bhar ke madina dekhu.n

ab to bas ek hi dhun hai ki madina dekhu.n

jaau.n mai.n shehr-e-nabi gumbad-e-KHazra dekhu.n
aur phir qabr-e-hasan, turbat-e-zahra dekhu.n

ab to bas ek hi dhun hai ki madina dekhu.n

DhoonD lu.n apne gunaaho.n ki mu'aafi ki sabeel
rehmat-e-rehmat-e-kaunain ka jalwa dekhu.n

ab to bas ek hi dhun hai ki madina dekhu.n

waa.n se phir jaa ke najaf zaKHm dikhaau.n apne
aur nazdeek se hi apna maseeha dekhu.n

ab to bas ek hi dhun hai ki madina dekhu.n

phir shahanshaah-e-najaf se mai.n ijaazat le kar
karbala jaa ke mai.n shabbir ka rauza dekhu.n

ab to bas ek hi dhun hai ki madina dekhu.n

ashk barsaau.n Gam-e-aal-e-muhammad pe wahaa.n
apni taareek nigaaho.n me.n sawera dekhu.n

ab to bas ek hi dhun hai ki madina dekhu.n

bas isi baat pe jeeta hu.n, Hameed-o-'Abdaal !
in tamannao.n ko poora kabhi hota dekhu.n


Poet:

Hameed Raza (Skardu)

Naat-Khwaan:

Abbas Anand Abdaali

 

अब तो बस एक ही धुन है कि मदीना देखूँ
अब तो बस एक ही धुन है कि मदीना देखूँ

आख़री 'उम्र में क्या रौनक़-ए-दुनिया देखूँ
अब तो बस एक ही धुन है कि मदीना देखूँ

आख़री वक़्त में क्या रौनक़-ए-दुनिया देखूँ
अब तो बस एक ही धुन है कि मदीना देखूँ

अज़-उफ़क़ ता-ब-उफ़क़ एक ही जल्वा देखूँ
जिस तरफ़ आँख उठे रौज़ा-ए-वाला देखूँ

'आक़िबत मेरी सँवर जाए जो तयबा देखूँ
दस्त-ए-इमरोज़ में आईना-ए-फ़र्दा देखूँ

मैं कहाँ हूँ, ये समझ लूँ तो उठाऊँ नज़रें
दिल सँभल जाए तो मैं जानिब-ए-ख़ज़रा देखूँ

मैं कहाँ हूँ, ये समझ लूँ तो उठाऊँ नज़रें
दिल जो सँभले तो मैं फिर गुंबद-ए-ख़ज़रा देखूँ

मैं ने जिन आँखों से देखा है कभी शहर-ए-नबी
और इन आँखों से अब क्या कोई जल्वा देखूँ

बा'द-ए-रेहलत भी जो सरकार को महबूब रहा
अब इन आँखों से मैं ख़ुश-बख़्त वो हुजरा देखूँ

जालियाँ देखूँ कि दीवार-ओ-दर-ओ-बाम-ए-हरम
अपनी मा'ज़ूर निगाहों से मैं क्या-क्या देखूँ

मेरे मौला ! मेरी आँखें मुझे वापस कर दे
ता-कि इस बार मैं जी भर के मदीना देखूँ

जिन गली कूचों से गुज़रे हैं कभी मेरे हुज़ूर
उन में ता-हद्द-ए-नज़र नक़्श-ए-कफ़-ए-पा देखूँ

ता-कि आँखों का भी एहसान उठाना न पड़े
क़ल्ब ख़ुद आईना बन जाए, मैं इतना देखूँ

काश, इक़बाल ! यूँही 'उम्र बसर हो मेरी
सुब्ह का'बे में हो और शाम को तयबा देखूँ


शायर:

इक़बाल अज़ीम

ना'त-ख़्वाँ:

ओवैस रज़ा क़ादरी
हाफ़िज़ अहमद रज़ा क़ादरी



अब तो बस एक ही धुन है कि मदीना देखूँ
अब तो बस एक ही धुन है कि मदीना देखूँ

मेरे मौला ! मेरी आँखें मुझे वापस कर दे
ता-कि इस बार मैं जी भर के मदीना देखूँ

अब तो बस एक ही धुन है कि मदीना देखूँ

जाऊँ मैं शहर-ए-नबी गुंबद-ए-ख़ज़रा देखूँ
और फिर क़ब्र-ए-हसन, तुर्बत-ए-ज़हरा देखूँ

अब तो बस एक ही धुन है कि मदीना देखूँ

ढूँड लूँ अपने गुनाहों की मु'आफ़ी की सबील
रहमत-ए-रहमत-ए-कौनैन का जल्वा देखूँ

अब तो बस एक ही धुन है कि मदीना देखूँ

वाँ से फिर जा के नजफ़ ज़ख़्म दिखाऊँ अपने
और नज़दीक से ही अपना मसीहा देखूँ

अब तो बस एक ही धुन है कि मदीना देखूँ

फिर शहंशाह-ए-नजफ़ से मैं इजाज़त ले कर
कर्बला जा के मैं शब्बीर का रौज़ा देखूँ

अब तो बस एक ही धुन है कि मदीना देखूँ

अश्क बरसाऊँ ग़म-आल-ए-मुहम्मद पे वहाँ
अपनी तारीक निगाहों में सवेरा देखूँ

अब तो बस एक ही धुन है कि मदीना देखूँ

बस इसी बात पे जीता हूँ, हमीद-ओ-'अब्दाल !
इन तमन्नाओं को पूरा कभी होता देखूँ


शायर:

हमीद रज़ा (स्कर्दू)

ना'त-ख़्वाँ:

अब्बास अनंद अब्दाली

Muslim Life Pro

Muslim Life Pro

Kam Wo Le Lijiye Tumko Jo Razi Kare, Theek Ho Naame Raza Tumpe Karoro Durood.

best naat |rapid naat test |naat test |urdu naat |har waqt tasawwur mein naat lyrics |a to z naat mp3 download |junaid jamshed naat |new naat sharif |naat assay |naat allah hu allah |naat audio |naat allah allah |naat app |naat allah mera sona hai |naat arabic |naat aptima |naat akram rahi|naat album |arabic naat |audio naat |audio naat download |ab to bas ek hi dhun hai naat lyrics |aye sabz gumbad wale naat lyrics |arbi naat |atif aslam naat |allah huma sale ala naat lyrics |rabic naat ringtone |naat blood test |naat by junaid jamshed  |naat beautiful |naat book |naat battery |naat by veena malik |nat bug |naat bhar do jholi |est naat 2023 | naat 2024 coming soon |bangla naat |best naat in urdu |beautiful naat |naat lyrics in english |naat lyrics in hindi|naat lyrics in urdu |naat lyrics in english and hindi