::

Search

मीलाद हो रहा है | गली गली मुहल्ले में मीलाद हो रहा है / Milad Ho Raha Hai | Gali Gali Muhalle Mein Milad Ho Raha Hai

  • Share this:
मीलाद हो रहा है | गली गली मुहल्ले में मीलाद हो रहा है / Milad Ho Raha Hai | Gali Gali Muhalle Mein Milad Ho Raha Hai

pa.Dho na

sallallahu 'ala muhammad
sallallahu 'alaihi wa sallam

karam ke baadal baras rahe hai.n
dilo.n ki kheti hari-bhari hai
ye kaun aaya ki zikr jis ka
nagar nagar hai, gali gali hai

ye kaun ban ke qaraar aaya
ye kaun jaan-e-bahaar aaya
gulo.n ke chehre hai.n nikhre nikhre
kali kali me.n shaguftagi hai

diye dilo.n ke jalaae rakhna
nabi ki mehfil sajaae rakhna
jo raahat-e-dil, sukoon-e-jaa.n hai
wo zikr zikr-e-muhammadi hai

kaisi raunaq, kaisa manzar, kaisa mausam dekha
aamina ka chaand chamka, dekho noor phaila

gali gali muhalle me.n meelaad ho raha hai

meelaad ho raha hai, meelaad ho raha hai
meelaad ho raha hai, meelaad ho raha hai

KHushiya.n manaao saare, jhande lagaao saare
ghar ko sajaao saare barqi kumkumo.n se

aaj hamaare aangan me.n mehfil-e-meelaad saji
pyaare nabi ka naam liya, pyaare nabi ki baat hui

naa'to.n ke nazraane hai.n, 'ishq-e-nabi ke naa're hai.n
jo bhi 'aqeedat se aaya, us mangte ki baat bani

gali gali muhalle me.n meelaad ho raha hai

meelaad ho raha hai, meelaad ho raha hai
meelaad ho raha hai, meelaad ho raha hai

imaan hamaara ! meelaad !
dil-jaan se pyaara ! meelaad !
hai noor ki baarish ! meelaad !
momin ki KHwaahish ! meelaad !
hai meri mohabbat ! meelaad !
aur qaum ki 'izzat ! meelaad !
dil dil me.n basa hai ! meelaad !
ghar ghar me.n saja hai ! meelaad !

jashn-e-nabi ke mauqe' par mehfil-e-naa't sajaaenge
jaan se pyaara hai parcham, ye parcham lehraaenge

baiThte uThte zikr-e-nabi har haalat me.n karna hai
WhatsApp Facebook har ik par jashn ki DP lagaaenge

gali gali muhalle me.n meelaad ho raha hai

meelaad ho raha hai, meelaad ho raha hai
meelaad ho raha hai, meelaad ho raha hai

KHushiya.n manaao saare, jhande lagaao saare
ghar ko sajaao saare barqi kumkumo.n se

TooT ke un ko chaaha hai, zikr-e-nabi na chho.Denge
jashn-e-nabi ki KHaatir ham har deewaar ko to.Denge

jazba hai meelaad-e-nabi, paisa-waisa cheez hai kya
jin ke sadqe milta hai, un par sab kuchh waarenge

gali gali muhalle me.n meelaad ho raha hai

meelaad ho raha hai, meelaad ho raha hai
meelaad ho raha hai, meelaad ho raha hai

jin se bahaare.n saari hai.n, jin se rehmat ke baadal
chamke sahaaba ahl-e-bait, un ke karam se sab har pal

yaum-e-sahaaba karte hai.n, naa maane.n meelaad ka din
aise bhi hai.n log yahaa.n, jo hai.n 'aqlo.n se paidal

marhaba marhaba !

kaisi raunaq, kaisa manzar, kaisa mausam dekha
aamina ka chaand chamka, dekho noor phaila

gali gali muhalle me.n meelaad ho raha hai

meelaad ho raha hai, meelaad ho raha hai
meelaad ho raha hai, meelaad ho raha hai

un ke juloos me.n aaya hu.n, haath me.n un ka jhanda hai
'ishq-e-nabi me.n chalna hai, kya rukna kya Darna hai

pyaas, thakan aur garmi se, mai.n ghabraau.n ? na re na
is meelaad ki rally se 'ishq-e-rasool ba.Dhaana hai

jab talak ye chaand-taare jhilmilaate jaaenge
tab talak jashn-e-wilaadat ham manaate jaaenge

chaar jaanib ham diye ghee ke jalaate jaaenge
ghar to ghar saare muhalle ko sajaate jaaenge

'eid-e-meelaadunnabi ki shab charaaGaa.n kar ke ham
qabr noor-e-mustafa se jagmagaate jaaenge

naa't-e-mahboob-e-KHuda sunte sunaate jaaenge
ya rasoolallah ka naa'ra lagaate jaaenge

duniya chaahe kuchh bhi kahe, jaari rahega apna mission
is par jeena marna hai, jashn-e-wilaadat ki hai lagan

ham ne, Ujaagar ! jagah jagah dil se charcha karna hai
laazim hai karna ham par, ye hai shi'aar-e-ahl-e-sunan

gali gali muhalle me.n meelaad ho raha hai

meelaad ho raha hai, meelaad ho raha hai
meelaad ho raha hai, meelaad ho raha hai

imaan hamaara ! meelaad !
dil-jaan se pyaara ! meelaad !
hai noor ki baarish ! meelaad !
momin ki KHwaahish ! meelaad !
hai meri mohabbat ! meelaad !
aur qaum ki 'izzat ! meelaad !
dil dil me.n basa hai ! meelaad !
ghar ghar me.n saja hai ! meelaad !


Poet:

Allama Nisar Ali Ujagar

Naat-Khwaan:

Hafiz Tahir Qadri
Hafiz Ahsan Qadri

 

पढ़ो ना

सल्लल्लाहु 'अला मुहम्मद
सल्लल्लाहु 'अलैहि व सल्लम

करम के बादल बरस रहे हैं, दिलों की खेती हरी-भरी है
ये कौन आया कि ज़िक्र जिस का, नगर नगर है, गली गली है

ये कौन बन कर क़रार आया, ये कौन जान-ए-बहार आया
गुलों के चेहरे हैं निखरे निखरे, कली कली में शगुफ़्तगी है

दिये दिलों के जलाए रखना, नबी की महफ़िल सजाए रखना
जो राहत-ए-दिल, सुकून-ए-जाँ है, वो ज़िक्र ज़िक्र-ए-मुहम्मदी है

कैसी रौनक़, कैसा मंज़र, कैसा मौसम देखा
आमिना का चाँद चमका, देखो नूर फैला

गली गली मुहल्ले में मीलाद हो रहा है

मीलाद हो रहा है, मीलाद हो रहा है
मीलाद हो रहा है, मीलाद हो रहा है

ख़ुशियाँ मनाओ सारे, झंडे लगाओ सारे
घर को सजाओ सारे बर्क़ी कुमकुमों से

आज हमारे आँगन में महफ़िल-ए-मीलाद सजी
प्यारे नबी का नाम लिया, प्यारे नबी की बात हुई

ना'तों के नज़राने हैं, 'इश्क़-ए-नबी के ना'रे हैं
जो भी 'अक़ीदत से आया, उस मँगते की बात बनी

गली गली मुहल्ले में मीलाद हो रहा है

मीलाद हो रहा है, मीलाद हो रहा है
मीलाद हो रहा है, मीलाद हो रहा है

ईमान हमारा ! मीलाद !
दिल-जान से प्यारा ! मीलाद !
है नूर की बारिश ! मीलाद !
मोमिन की ख़्वाहिश ! मीलाद !
है मेरी मोहब्बत ! मीलाद !
और क़ौम की 'इज़्ज़त ! मीलाद !
दिल दिल में बसा है ! मीलाद !
घर घर में सजा है ! मीलाद !

जश्न-ए-नबी के मौक़े' पर महफ़िल-ए-ना'त सजाएँगे
जान से प्यारा है परचम, ये परचम लहराएँगे

बैठते उठते ज़िक्र-ए-नबी हर हालत में करना है
व्हाट्सएप फ़ेसबुक हर इक पर जश्न की डीपी लगाएँगे

गली गली मुहल्ले में मीलाद हो रहा है

मीलाद हो रहा है, मीलाद हो रहा है
मीलाद हो रहा है, मीलाद हो रहा है

ख़ुशियाँ मनाओ सारे, झंडे लगाओ सारे
घर को सजाओ सारे बर्क़ी कुमकुमों से

टूट के उन को चाहा है, ज़िक्र-ए-नबी ना छोड़ेंगे
जश्न-ए-नबी की ख़ातिर हम हर दीवार को तोड़ेंगे

जज़्बा है मीलाद-ए-नबी, पैसा-वैसा चीज़ है क्या
जिन के सदक़े मिलता है, उन पर सब कुछ वारेंगे

गली गली मुहल्ले में मीलाद हो रहा है

मीलाद हो रहा है, मीलाद हो रहा है
मीलाद हो रहा है, मीलाद हो रहा है

जिन से बहारें सारी हैं, जिन से रहमत के बादल
चमके सहाबा अहल-ए-बैत, उन के करम से सब हर पल

यौम-ए-सहाबा करते हैं, ना मानें मीलाद का दिन
ऐसे भी हैं लोग यहाँ, जो हैं 'अक़्लों से पैदल

मरहबा मरहबा !

कैसी रौनक़, कैसा मंज़र, कैसा मौसम देखा
आमिना का चाँद चमका, देखो नूर फैला

गली गली मुहल्ले में मीलाद हो रहा है

मीलाद हो रहा है, मीलाद हो रहा है
मीलाद हो रहा है, मीलाद हो रहा है

उन के जुलूस में आया हूँ, हाथ में उन का झंडा है
'इश्क़-ए-नबी में चलना है, क्या रुकना क्या डरना है

प्यास, थकन और गर्मी से, मैं घबराऊँ ? ना रे ना
इस मीलाद की रैली से 'इश्क़-ए-रसूल बढ़ाना है

जब तलक ये चाँद-तारे झिलमिलाते जाएँगे
तब तलक जश्न-ए-विलादत हम मनाते जाएँगे

चार जानिब हम दिये घी के जलाते जाएँगे
घर तो घर सारे मुहल्ले को सजाते जाएँगे

'ईदे-ए-मीलादुन्नबी की शब चराग़ाँ कर के हम
क़ब्र नूर-ए-मुस्तफ़ा से जगमगाते जाएँगे

ना'त-ए-महबूब-ए-ख़ुदा सुनते सुनाते जाएँगे
या रसूलल्लाह का ना'रा लगाते जाएँगे

दुनिया चाहे कुछ भी कहे, जारी रहेगा अपना मिशन
इस पर जीना मरना है, जश्न-ए-विलादत की है लगन

हम ने, उजागर ! जगह जगह दिल से चर्चा करना है
लाज़िम है करना हम पर, ये है शि'आर-ए-अहल-ए-सुनन

गली गली मुहल्ले में मीलाद हो रहा है

मीलाद हो रहा है, मीलाद हो रहा है
मीलाद हो रहा है, मीलाद हो रहा है

ईमान हमारा ! मीलाद !
दिल-जान से प्यारा ! मीलाद !
है नूर की बारिश ! मीलाद !
मोमिन की ख़्वाहिश ! मीलाद !
है मेरी मोहब्बत ! मीलाद !
और क़ौम की 'इज़्ज़त ! मीलाद !
दिल दिल में बसा है ! मीलाद !
घर घर में सजा है ! मीलाद !


शायर:

अल्लामा निसार अली उजागर

ना'त-ख़्वाँ:

हाफ़िज़ ताहिर क़ादरी
हाफ़िज़ अहसन क़ादरी

Muslim Life Pro

Muslim Life Pro

Kam Wo Le Lijiye Tumko Jo Razi Kare, Theek Ho Naame Raza Tumpe Karoro Durood.

best naat |rapid naat test |naat test |urdu naat |har waqt tasawwur mein naat lyrics |a to z naat mp3 download |junaid jamshed naat |new naat sharif |naat assay |naat allah hu allah |naat audio |naat allah allah |naat app |naat allah mera sona hai |naat arabic |naat aptima |naat akram rahi|naat album |arabic naat |audio naat |audio naat download |ab to bas ek hi dhun hai naat lyrics |aye sabz gumbad wale naat lyrics |arbi naat |atif aslam naat |allah huma sale ala naat lyrics |rabic naat ringtone |naat blood test |naat by junaid jamshed  |naat beautiful |naat book |naat battery |naat by veena malik |nat bug |naat bhar do jholi |est naat 2023 | naat 2024 coming soon |bangla naat |best naat in urdu |beautiful naat |naat lyrics in english |naat lyrics in hindi|naat lyrics in urdu |naat lyrics in english and hindi