marhaba ! marhaba ! marhaba !saj gai har gali, sab makaa.n saj gae'aashiqo.n ki chhato.n par hai jhande lagehar taraf dhoom hai, har taraf hai KHushiaaj hai har taraf noor hi noor hi
rabi'unnoor aaya hairabi'unnoor aaya hairahe.n haatho.n me.n jhandiyaa.nchalo baante.n miThaaiyaa.njalaao mom-battiyaa.nsaje darwaaze khi.Dkiyaa.ngiraao jalne waalo.n ke -dilo.n par aaj bijliyaa.nzamee.n mahki, falak chamka haikaa'ba muskuraaya hairabi'unnoor aaya hairabi'unnoor aaya hai
mausam suhaana huaa, nabi ka jab aana huaamere aaqa ke jalwo.n se raushan zamaana huaaqurbaan jaau.n mai.n ye bole jibreel-e-amee.nki sidra se bhi aage nabi ka jab jaana huaa
Sahar ka Waqt tha Maasum kaliyaa.n Muskuraati thi.nHawaaei.n khair-makhdam ke taraane gungunaati thi.nAbhi Jibreel bhi utre na the Kaabe ke mimbar seKe Itne me.n sadaa aayi hai Abdullah ke ghar seMubaarak ho Shahe har-do-saraa tashreef le aayeMubaarak ho Muhammad Mustafa tashreef le aayeMaula Ya Salli wa Sallim Daeeman 'abadan'Ala Habibi-k khairil Khalki Kullimi
ya mustafa ! ya mustafa ! ya mustafa !tu hai 'aashiq-e-nabi sab ko ye bataae jaamustafa ke 'ishq me.n mehfile.n sajaae jaaya mustafa ! ya mustafa !ya mustafa ! ya mustafa !jashn-e-aamad-e-nabi, jashn-e-aamad-e-nabidil se tu manaae jaa, dil se tu manaae jaaya mustafa ! ya mustafa !ya mustafa ! ya mustafa !
marhaba ! bolo marhaba marhaba !jhoom kar bolo marhaba marhaba !jhoom kar bolo marhaba !momino ! waqt-e-adab haiaamad-e-mahboob-e-rab haijaa-e-aadaab-o-tarab haiaamad-e-shaah-e-'arab haimarhaba ! bolo marhaba marhaba !jhoom kar bolo marhaba !baj rahe hai.n shaadiyaanebut lage kalima sunaanehar zabaa.n par hai.n taraaneaamad-e-shaah-e-'arab hai
jashn-e-'eid-e-baarahwi.n manaaa gae huzoor aa gaegoonj uThi sada-e-marhabaaa gae huzoor aa gae'arsh-o-farsh ki thi guftugumai.n ba.Da hu.n ya ba.Da hai tufarsh bola ab hu.n mai.n ba.Daaa gae huzoor aa gaejashn-e-'eid-e-baarahwi.n manaaa gae huzoor aa gaegoonj uThi sada-e-marhabaaa gae huzoor aa gae
ham KHushi manaaenge, tum jalo ya mar jaaonaa't gungunaaenge, tum jalo ya mar jaaomustafa ki aamad par sabz rang ka jhandachhat pe ham lagaaenge, tum jalo ya mar jaaomustafa ki 'azmat par, 'izzat-e-payambar parjaan ham luTaaenge, tum jalo ya mar jaaomaslak-e-raza, beshak ! raasta hai jannat kasab ko ye bataaenge, tum jalo ya mar jaao
jaan-e-rahmat, shaan-e-rahmat aamina ka laal haisaari duniya ki zaroorat aamina ka laal haishaan-e-rahmat, jaan-e-rahmat aamina ka laal haisaari duniya ki zaroorat aamina ka laal haigod me.n le kar ke aaqa ko haleema ne kahachaand se bhi KHoobsoorat aamina ka laal haiteri Gurbat ko miTa dega ye kuchh hi waqt me.nai haleema ! teri qismat aamina ka laal hai
KHushiya.n manaao, jhande lagaao, ghar ko sajaao mil keapne nabi ki 'azmat ke tum geet sunaao mil kecharaaGaa.n hi charaaGaa.n ho.n, KHushi ke shaadiyaane ho.nmere aaqa ki aamad hai, sadaae.n marhaba ki ho.n
shukr-e-KHuda ki razvi rangat waale hai.nham sunni to aa'la hazrat waale hai.nhubb-e-nabi aur hubb-e-sahaaba me.n chal kar'ishq-e-'ali bhi dil me.n chalte hai.n rakh kar
tera khaawaa.n mai.n tere geet gaawaa.n, ya rasoolallah !tera meelaad mai.n kyu.n na manaawaa.n, ya rasoolallah !haleema ghar kadi vekhe, kadi sarkaar nu.n vekhemai.n keh.Di sej tere lai sajaawaa.n, ya rasoolallah !tera meelaad mai.n kyu.n na manaawaa.n, ya rasoolallah !









