salle-'ala nabiyyina ! salle-'ala muhammadin !salle-'ala shafi'ena ! salle-'ala muhammadin !sadiyo.n se jo karte hai.n, wohi kaam karengeis saal bhi ham shaan se meelaad karengegar shaan se jeena hai to meelaad hai karnauTha ke sar chalna hai to meelaad hai karnakaho na ! kaho na ! kaho meelaad waale ham !kaho na ! kaho na ! kaho meelaad waale ham !
marhaba ! bolo marhaba marhaba !jhoom kar bolo marhaba marhaba !jhoom kar bolo marhaba !momino ! waqt-e-adab haiaamad-e-mahboob-e-rab haijaa-e-aadaab-o-tarab haiaamad-e-shaah-e-'arab haimarhaba ! bolo marhaba marhaba !jhoom kar bolo marhaba !baj rahe hai.n shaadiyaanebut lage kalima sunaanehar zabaa.n par hai.n taraaneaamad-e-shaah-e-'arab hai
salle-'ala pukaaro, sarkaar aa rahe hai.nuTho, ai be-sahaaro ! sarkaar aa rahe hai.nmaulood ki gha.Di hai, chalo aamina ke ghar parai KHuld ki bahaaro ! sarkaar aa rahe hai.njo maangna hai maango, jo lena hai so le loduniya ke taajdaaro ! sarkaar aa rahe hai.n
jaan-e-rahmat, shaan-e-rahmat aamina ka laal haisaari duniya ki zaroorat aamina ka laal haishaan-e-rahmat, jaan-e-rahmat aamina ka laal haisaari duniya ki zaroorat aamina ka laal haigod me.n le kar ke aaqa ko haleema ne kahachaand se bhi KHoobsoorat aamina ka laal haiteri Gurbat ko miTa dega ye kuchh hi waqt me.nai haleema ! teri qismat aamina ka laal hai
'arab se shaam tak jo raushni haimere sarkaar ki aamad hui haihaleema bi chali.n aaqa ko le karajab teji me.n un ki unTni haimahal bhi jhuk ke dete hai.n salaamihaleema bi ki aisi jhonp.Di haibashar ki baat kya ! duniya ki har shainabi ki naa't sun kar jhoomti hainabi ki naa't ke aage Gazal bhiadab se haath ko baandhe kha.Di hai
duroodo.n ki shamma' labo.n par sajaaoandhera miTaane huzoor aa rahe hai.nuTho, sunniyo ! apne daaman ko bhar lomuqaddar jagaane huzoor aa rahe hai.nzara pa.Dh ke salle-'ala ya muhammadgharo.n ko sajaao huzoor aa rahe hai.ndil-o-jaan kar do sab un ke hawaaleki palke.n bichhaao huzoor aa rahe hai.nsuhaani gha.Di aur pichhla pahar haitabassum-ba-daama wo dekho qamar hai
KHuda ki rehmat baras rahi haihuzoor tashreef laa rahe hai.nfarishte ghar aamina ka jaa karKHud apne haatho.n saja rahe hai.nnabi ka bachpan tha kya salonaki chaand tha aap ka khilaunakabhi khilaune ko to.Dte hai.nkabhi khilauna bana rahe hai.ndukaane.n bu-jahl ki hai.n jitniwo ek bhi ab nahi.n khulengithe jis me.n jhooTe KHuda usi me.nhuzoor taala laga rahe hai.n
aaj dulha bana shaah ahmad razashaah ahmad raza, shaah ahmad razagulshan-e-pur-ziya shaah ahmad razabulbul-e-KHush-nawa shaah ahmad razadoodh ka doodh, paani ka paani kiyakis ne tere siwa shaah ahmad raza
habeeb-e-KHuda ! lo salaam ab hamaarashah-e-ambiya ! lo salaam ab hamaarajuda aap se rah ke mushkil hai jeenaye hasrat hai dil me.n ki dekhe.n madinaidhar bhi ho, aaqa ! karam ka ishaarahabeeb-e-KHuda ! lo salaam ab hamaara
karbala ke jaa.n-nisaaro.n ko salaamfaatima zahra ke pyaaro.n ko salaammustafa ke maah-paaro.n ko salaamnau-jawaano.n gul-'izaaro.n ko salaam
huzoor ! dard ke maare salaam kehte hai.ndil-o-nigaah hamaare salaam kehte hai.nshafi'-e-roz-e-jaza tum ho, ya rasoolallah !gunaahgaar tumhaare salaam kehte hai.n
ya rasoolallah ! marhaba marhaba !ya habiballah ! marhaba marhaba !bekaso.n se hai jinhe.n pyaar wohi aae hai.njo do 'aalam ke hai.n Gam-KHwaar wohi aae hai.n












